Skip to content
Lyric
Dive
Public playlists
My playlists
Search
Sign in
Patta Patta Boota Boota
Ghulam Ali
Popularity · High
+
Soninke · Original
0
0
Listen
YouTube
1
2
3
0:00 / 0:00
Loading YouTube player...
Lyrics offset
Synced
Lyrics
Original
Translation
Bilingual
Patta-patta, boota-boota, haal humara jaane hai

Jaane na jaane gul hi na jaane, baag to saara jaane hai
Patta-patta jaane hai
Chaaragari bimari-e-dil ki rasm-e-shehr-e-husn nahi

Rasm-e-shehr-e-husn nahi
Warna dilbar, naadaan bhi iss dard ka chaara jaane hai
Jaane na jaane gul hi na jaane, baag to saara jaane hai
Patta-patta jaane hai
Mehr-o-wafa-o-lutf-o-inaayat, ek se waaqif in mein nahi

Ek se waaqif in mein nahi
Aur to sab kuch tanz-o-kinaya, ramz-o-ishaara jaane hai
Jaane na jaane gul hi na jaane, baag to saara jaane hai
Patta-patta jaane hai
Kya-kya fitne sar par uske laata hai maashuq apna

Laata hai maashuq apna
Jis bedil betaab-o-tavaan ko ishq ka maara jaane hai