Skip to content
Lyric
Dive
Public playlists
My playlists
Search
Sign in
Raksha Bandhan Title Track
Himesh Reshammiya
Popularity ยท Low
+
๐ณ๐ฌ Hausa ยท Original
0
0
Listen
YouTube
1
2
3
0:00 / 0:00
Loading YouTube player...
Lyrics offset
Synced
Lyrics
Original
Translation
Bilingual
Pehli yaari tumse meri, pehla gussa tumse tha
Bhai, mere bachpan ka toh poora qissa tumse tha
Aadha hissa tha woh mera, aadha hissa tumse tha
Bhai, mere bachpan ka toh poora qissa tumse tha
Raksha Bandhan vaada hai ya dhaaga hai pyaar ka
Oh-oh, dhaaga hai pyaar ka
Thoda sa hai chandan, chhota sa hai teeka
Bandhan zindagi ka
Raksha Bandhan vaada hai ya dhaaga hai pyaar ka
Oh-oh, dhaaga hai pyaar ka
Saat rang sachche sabhi, kab huye hain kachche kabhi?
Dekhne ko nazuk hain, par toot'ti na doriyaan
Chaahaton ki jhaanki mile, chitthiyon mein raakhi mile
Bhoolti kabhi na behnein, hon hazaar dooriyaan
Raksha Bandhan vaada hai ya dhaaga hai pyaar ka
Oh-oh, dhaaga hai pyaar ka
ย
Maa ki ek parchhaayi si behen mein dikhaayi deti
Aur pita nazar aate hain bhaiyon ki baat mein
Khoon ka yeh rishta bhi hai, hai zubaan ka naata bhi
Maan jo liya bhai toh saans-saans saath mein
Raksha Bandhan vaada hai ya daava hai pyaar ka
Oh-oh, daava hai pyaar ka
Thoda sa hai resham, thoda sa hai meetha
Bandhan zindagi ka
Raksha Bandhan vaada hai ya dhaaga hai pyaar ka
Oh-oh, dhaaga hai pyaar ka
ย