Skip to content
Lyric
Dive
Public playlists
My playlists
Search
Sign in
Khudaya Khair
Akriti Kakkar, Monali and Soham
Popularity · Low
+
Soninke · Original
0
0
YouTube
Searching YouTube...
Lyrics
Original
Translation
Bilingual
Raaton raat taara koi, chaand ya sitaara koi
Gire to utha lena, o suniyo re
Taara chamkeela hoga, chaand sharmeela hoga
Nath mein laga lena
Raaton raat taara koi, chaand ya sitaara koi
Gire to utha lena, o suniyo re
Taara chamkeela hoga, chaand sharmeela hoga
Nath mein laga lena
Zara si saanvari hai woh, zara si baawri hai woh
Woh surme ki tarah meri aankhon mein hi rehti hai
Subah ke khwaab se udaai hai
Palkon ke neeche chhupaai hai
Maano na maano tum
Sote sote khwaabon mein bhi khwaab dikhati hai
Maano na maano tum
Pari hai woh, pari ki kahaniyan sunaati hai
Khudaya khair, khudaya khair
Khudaya khair, khudaya khair
Raaton raat taara koi, chaand ya sitaara koi
Gire to utha lena, o suniyo re
Taara chamkeela hoga, chaand sharmeela hoga
Nath mein laga lena
Tu hawa, main zameen, tu jahaan, main wahin
Jab ude mujhe leke kyun udti nahin?
Tu ghata, main zameen, tu kahin, main kahin
Kyun kabhi mujhe leke barasti nahin?