Skip to content
Lyric
Dive
Public playlists
My playlists
Search
Sign in
Chhod Diya Woh Raasta
Arijit Singh
Popularity · Low
+
Soninke · Original
0
0
YouTube
Searching YouTube...
Lyrics
Original
Translation
Bilingual
Chhod diya woh raasta
Jis raaste se tum the guzre
Chhod diya woh raasta
Jis raaste se tum the guzre
Tod diya woh aaina
Jis aaine mein tera aks dikhe
Main sheher mein tere tha gairon sa
Mujhe apna koi na mila
Tere lamhon se, mere zakhmon se
Ab toh main door chala
Rukh na kiya un galiyon ka
Jin galiyon mein teri baatein hon
Chhod diya woh raasta
Jis raaste se tum the guzre
Main tha musafir raah ka teri
Tujh tak mera tha daayra
Main tha musafir raah ka teri
Tujh tak mera tha daayra
Main bhi kabhi tha mehbar tera
Khanabadosh main ab thehra
Khanabadosh main ab thehra
Chhoota nahi un phoolon ko
Jin phoolon mein teri khushbu ho
Rooth gaya un khwabon se
Jin khwabon mein tera khwaab bhi ho
Kuch bhi na paaya maine safar mein
Hoke safar ka main reh gaya
Kuch bhi na paaya maine safar mein
Hoke safar ka main reh gaya
Kagaz ka boseeda ghar tha
Bheegte baarish mein beh gaya
Bheegte baarish mein beh gaya
Dekhun nahi uss chaandni ko
Jis mein ke teri parchhaayi ho
Door hoon main in hawaon se
Yeh hawa tujhe chhoo ke bhi aayi na ho