Skip to content

Saaye

Popularity ยท Low

YouTube

Searching YouTube...

Lyrics

Chhor kar is mor par Gar jaogay aye humsafar To Jaan le k reh naa paunga Reh jayegi aisi kami Tere baad mere hum nasheen To Jaan le sambhal naa paounga Din yeh katay teri raahon mein Raatein sajein teri baaton se Kaise kahun mai reh naa sakoonga inke siwa Kissay sunoon khamoshi se Khoya rahun madhoshi mein Khwaabon ki kashti kahin doob jaye naa Baadalon k saaye mein bhi Dil mera ghabraye har pal Tera dard sataye gaa piya Bheer mein khaye tanhai Neendon mein teri parchayi Aisa dard jalaye ga piya Phoolun ka aisay murjaana Panchiyon ka yoon ur jana Roshni laut ke aayenaa Naa rahay ga koi thikana Bhaar mein jaye zamaana Khush kabhi yeh dil reh paye naa Karni thi abhi baatein kayi Kab se thi jo dil mein rakhi Tere bin yeh adhuri si reh jayegi Tere saath main ghar sa lagun Bin tere kya khaak karun Meri jaan tu mur k waapis ajaana Baadalon k saaye mein bhi Dil mera ghabraye har pal Tera dard sataye gaa piya Bheer mein khaye tanhai Neendon mein teri parchayi Aisa dard jalaye ga piya