Skip to content
Lyric
Dive
Public playlists
My playlists
Search
Sign in
Aaj Mere Man Mein
Lata Mangeshkar
Popularity · Low
+
Original
0
0
YouTube
Searching YouTube...
Lyrics
Original
Translation
Bilingual
Aa-ha-ha, aaj mere man mein sakhi baansuri bajaae koyi
Aaj mere man mein...
Aaj mere man mein sakhi baansuri bajaae koyi
Pyaar bhare geet sakhi baar-baar gae koyi
Baansuri bajaae, baansuri bajaae sakhi, gae sakhi, ri, koyi chhailava, ho
(koyi albelava, ho, koyi chhailava, ho)
Rang meri javanee ka liye jhumata ghar aayaa hai saavan
(o, rang meri javanee ka liye jhumata ghar aayaa hai saavan)
Aa-ha-ha, o, sakhi, ho, re, sakhi aayaa hai saavan
(mere nainon mein hain saajan)
In udi ghatao mein, hawaaon mein sakhi
Naache mera man, ho, sakhi naache mera man
(ho, aangan mein saavan man bhavan ho jee)
Ho-o, in udi ghatao mein, hawaaon mein sakhi
Naache mera man, ho, sakhi naache mera man
Dil ke hindole pe mohe jhulana jhulaae koyi
(pyaar bhare geet sakhi baar-baar gae koyi)
Baansuri bajaae sakhi, gae sakhi, ri, koyi chhailava, ho
(koyi albelava, ho, koyi chhailava, ho)
Kehtha hai ishaaron mein koyi, "aa, mohe ambua ke tale mil"
(bhalaa vo kaun hai ghaayal?)
Kehtha hai ishaaron mein koyi, "aa, mohe ambua ke tale mil"
(bhalaa vo kaun hai ghaayal?)
Main naam naa loon, aaj lage laaj sakhi
Dhadke mera dil, ho, sakhi dhadke mera dil
(ho, aangan mein saavan, man bhavan ho jee)
Ho-o, main naam naa loon, aaj lage laaj sakhi
Dhadke mera dil, ho, sakhi dhadke mera dil
Taar pe jeevan kee madhur raagini sunaae koyi
(pyaar bhare geet sakhi baar-baar gae koyi)
Baansuri bajaae sakhi, gae sakhi, ri, koyi chhailava, ho
(koyi albelava, ho, koyi chhailava, ho)