Skip to content
Lyric
Dive
Public playlists
My playlists
Search
Sign in
Ek Akela Is Shaher Mein
Gulzar
Popularity · Moderate
+
Original
0
0
Listen
YouTube
1
2
3
0:00 / 0:00
Loading YouTube player...
Lyrics offset
Synced
Lyrics
Original
Translation
Bilingual
Kuchh saaye, kuchh parchhaayian, kuch chaahat ke sajde
Kuchh behte baadlon par rakhi umeedein barasti rahi, tarasti rahi
Chaan aasmaan mein jade suraakh ki tarah jaagta raha
Aur raat kisi andhe kuein ki tarah munh khole haanfti rahi
Raaste paaon tale se nikalte rahe
Na ruke, na thame, na roka, na poochha
"Zindagi, kis talaash mein hai?"
Zindagi thakne lagi hai aur ye zindagi ka judwa
Uski ungli pakde shehar ki nangi sadkon par
Abhi tak kuchh been raha hai, kuchh dhoondh raha hai
Ek akela is shehar mein, raat mein aur dopahar mein
Aab-o-daana dhoondta hai, aashiyana dhoondta hai
Ek akela is shehar mein, raat mein aur dopahar mein
Aab-o-daana dhoondta hai, aashiyana dhoondta hai
Ek akela is shehar mein
Din khaali-khaali bartan hai...
Din khaali-khaali bartan hai aur raat hai jaise andha kuan
In sooni andheri aankhon mein aansu ki jagah aata hai dhuan
Jeene ki wajah to koyi nahin, marne ka bahaana dhoondta hai
Dhoondta hai, dhoondta hai
Ek akela is shehar mein, raat mein aur dopahar mein
Aab-o-daana dhoondta hai, aashiyana dhoondta hai
Ek akela is shehar mein
In umr se lambi sadkon ko...
In umr se lambi sadkon ko manzil pe pahaunchte dekha nahin
Bas daudti-phirti rehti hai, humne to thehrte dekha nahin
Is ajnabi se shehar mein jaana pehchaana dhoondta hai