Skip to content

Parinda

Punit Singh
Popularity ยท Low

YouTube

Searching YouTube...

Lyrics

[Chorus] Main to parinda, tu aasmaan hai mera, main to udta phirun tujhmein akela Oh-ho, ho-ho Parinda, tu aasmaan hai mera, main to gaata phirun tujhmein akela [Verse 1] Un kaliyon mein, un baagon mein, un kiranon aur taaron mein Un shaakhaon se jude parindon ke un aawaazon mein tu Gum hai un deewaron mein, bahti un fizaon mein tu Aaj galiyon mein, ek din, aana meri baahon mein Tu zindagi, main hissa tera, tujhmein hi zameen ye aasmaan Parinda, tu aasmaan hai mera, main to gaata phirun tujhmein akela [Verse 2] Ye rukne se bhi na rukta, ye thakne se bhi na thakta Ye matwaala ziddi hai, karna haasil bas iska junoon Dar-dar bhatka shehron mein, saansen thami un pehron mein Tu laut aa, dikh ja, milne de dil ko sukoon Ghayal hoon, tu par ban ja, tujhmein hi zameen ye aasmaan Parinda, tu aasmaan hai mera, main to gaata phirun tujhmein akela [Interlude] Oh-ho, ho-ho Aah-ha, ha-ha, ha Aah-ha, ha-ha, ha Aah-ha, aah-ha, aah-ha Na-na, na-na, na-na, na-na Oh-ho, ho-ho Oh-ho, ho-ho Oh-ho, oh-ho, oh-ho Tujhmein akela See upcoming rock shows Get tickets for your favorite artists You might also like ่—คไบ• ้ฃŽ (Fujii Kaze) - ๆญปใฌใฎใŒใ„ใ„ใ‚ (Shinunoga E-Wa) (Romanized) Genius Romanizations Creep Radiohead Waco, Texas Ethel Cain [Bridge] Main to dekhun sapne teri aaghoshi ke Taakun, nihaaru, jo dhoondhe ehsaas tu mere Main to nahi duniya mein, ye aahat tera bhram hai Ya main jahan bhi hoon, teri aankhein kyun nam hain? [Chorus] Na tu parinda, na main aasmaan teri, na yun udta phir mujhmein akela Oh-ho Na tu parinda, na main aasmaan hoon teri, main to berang hoon, tu rang sunhera [Verse 3] Jab tak saans hai, ye aawaaz hai, tab tak tujh tak badhta rahoonga Teri aawaragi mein na sirf maikashi se gham bharta rahoonga main to Jab tak saans hai, ye alfaaz hai, tab tak tujhko likhta rahoonga Teri madhoshi mein jalta, har muqam haasil karta rahoonga main to Main to, mm-hmm, kuch bhi nahi [Verse 4] Jab pahunche zarre kasht mere, chhu lena, hon gham nasht mere Tab parwanon ke kisse kehna, bin toke sun loonga main Wo khaamosh pal hai jahan, mere sau jeevan hai wahan Ab ki, aankhon se na hatna, ab na jaane doonga Main to beghar hoon, tu ghar ban ja, tujhmein hi zameen ye aasmaan Parinda, tu aasmaan hai mera, main to gaata phirun tujhmein akela [Outro] Aah-ha, aah, aah Na-na, na-na, na-na