Skip to content
Lyric
Dive
Public playlists
My playlists
Search
Sign in
Krishna 16000 Marriages
Shailendra Bharti
Popularity · Low
+
Original
0
0
YouTube
Searching YouTube...
Lyrics
Original
Translation
Bilingual
Hello, friends, this is Shailendra Bharti
Main fir se aaj aapke saamne upastith hus hu
Vishnu puraan ki ek aur mazedaar kahani ke saath
Ji haan, iska sheershak hai, "Krishna ki 16 hazaar shaadiyaan"
Waise hum Krishna ko angeenat baaton ke jaante hain, dosto
Unke virat roop ke liye aur Mahabharat jismein ke Arjun ke wo saarthi bane the
Aisi bohot si baatein hain jise har koi jaanta hai aur samajhta hai
Par Krishna ka ek aur paksh hai, unki raasleela
Issi raas leela ko na jaate hue kayi prakaar ki baatein kayi log kar dete hai
Kyunki wo Krishna ke adbhut aur alokik prashna ko nahi jaante
Aaj hum Vishu puraan se wo katha laayein hain
Jismein unke issi alokik prem ki baat ki gayi hai
Jis prem ke chalte unhone ek saath 16 hazaar shadiyan ki thi
Ji haan, sahu suna hai aapne, 16 hazaar shadiyaan
Kyon ki thi ye shadiyan? Aur itna hi nahi
Unhone ye shadiyan apni patni Satyabhama ki upastithi mein ki thi
Aaiye zara jaante hain, dhyaan deke suniyega, dosto
Pragjyotishpura nagar ka raja, Narkasur, ek daitye tha
Uski shakti itni badh gayi thi ki usne apni maaya se
Indra, Varun, Agni, Vaayu aadi sabhi devta'on ko pareshaan kar rakha tha
Narkasur ki shakti ke aage koi bhi aur devta tikk nahi pata tha
Jab devta hi nahi tikk paate the
To bhagwan ka smaran karne waale saadhu aur sant'on ka to kya hi haal hota
Jab bhi saadhu aur sant dukhi hone lagte hain, to fir uska ek hi arth hota hai
Ki dharti par adharam badh raha hai aur dharam ki haani ho rahi hai
Narkasur ka atyachaar itna badhta ja raha tha
Ke usne kayi raajyon ki raajkumari'on aur santo ki stree'on ko bhi bandi bana liya tha
Stree'on ke bandi banane ke peeche ek prayjan tha
Narkasur amar hona chahta tha
Issi amratva ki praapti ke liye wo stree'on ko bandi bana raha tha
Ke unki bali chadhakar wo swayam amar ho jaayega
Jab uska atyachaar aseheniye ho gaya, to sab shree Krishna ki sharan mein aa gaye
Aur unse sahayta ki vinti karne lage
Jo log Krishna se milne aaye the, unmein kayi saari stree'an hi thi
Unhone Krishna ko bataya ki kaise unhone Kans ka vadh kiya
Kaise shree Krishna stree shakti aur maatra shakti ke rakshak hain
Aur kya wo jaante hain?
Ki ek daitye ne 16 hazaar stree'on ko apna bandi banake rakha hua hai
Uss daitye Narkasur ke kaaragaar mein keval 5 hazaar logo ki hi jagah thi
Par wahaan par usne 16 hazaar stree'on ko rakha hua tha
Unki parastithi kitni buri hogi, ye to sab samajh hi sakte hain
Ye saari baatein sunlkar, Krishna ka mann dukhi ho gaya
Ussi samay shree Krishna ne sabko aashwaasan diya
Ke wo unki sahaayta avashye karenge
Prantu ek samasya thi, Narkasur ko vardaan tha
Ki uski mrityu keval ek stree ke haathon hi ho sakti thi
Tab Krishna ne apni patni Satyabhama ko apna saarthi banaya
Aur Narkasur vadh nikal gaye
Yudh hua, aur yudh mein Narkasur maara gaya
Krishna aur unki patni ne ussi samay
16 hazaar stree'on ko bandi grehe mukt kiya
Aur unhein svatantra jeevan diya
Saara jagat Narkasur ke atyachaar se mukt ho gaya
Prantu samasya ka yahaan par ant nahi hua tha
Jitna bhi stree'an mukt hui thi, unhone bataya
Ke unmein se adhiktar ke pati ya sage-sambandhi
Narkasur ke haathon maare gaye hain
Kuch stree'on ke sambandhi jo jeevit the
Wo unhein sweekaar karne ko taiyaar nahi the
Kyunki adhiktar ko ye lag raha tha
Ke ve sab stree'an ab apavitra hi gayi hain
Inn mukt ho chuki stree'on ne Krishna se prashan kiya
Ki, "Samaaj mein aise dohre maapdand kyon hai?
Purush kuch kar le, par unki pratishtha par aanch nahi aati
Par yadi stree ek raat bhi apne ghar ke baahar bita le
To usse asweekar kar diya jata hai"
Wo apni ichha se Narkasur ki bandi nahi bani thi
Jab wo wahaan band thi to bhi dukhi thi
Aur aaj jab Krishna ne unhein swatantra kar diya to bhi woh dukhi hain
Aakhir wo stree'an kahaan jaati, ye badi vikat samasya thi
Kis-kis ko Krishna uske ghar chhodne jaate
Kis-kis ke sambandhi ko Krishna samjhaate
Samaaj mein kis-kis se baat karte?
Kuch aisa karne ki aawashyakta thi, jisse inn stree'on ko sammaan bhi milta
Aur samajik dohrepan ki aur sanket bhi ho jaata
Krishna ne ussi samay sankalp kiya
Ke inn sabhi 16 hazaar stree'on ko wahi sammaan denge
Jo samaaj mein kisi bhi samaanit stree ko praapt hota hai
Arthaarth Krishna kuch aise karenge, jiske baad koi bhi inn stree'on ki pavitrta par
Unki prathistha par prashna nahi utha paayega
Stree'an soch mein pad gayi ki Krishna kya karenge?
Jisse ye sab sambhav ho sakega
Aur tabhi, tabhi Krishna ne ghosna kar di
Ke we unn sab 16 hazar stree'on se vivaah karenge
Aur vivaah ke baad unko wahi sammaan parapt hoga
Jo samaaj mein ek vivaahit stree ko praapt hota hai
Poori sabha mein chhupi chha gayi, sab aur shaanti thi
16 hazar stree'an khuli aankhon se Krishna ko bas dekhi ja rahi thi
Dosto, ye hai wo katha, jahaan par stree'on ke sammaan ke hetu
Shree Krishna ne 16 hazaar shadiyaan ki thi
Krishna ke jeevan kaal main kabhi aisa nahi hua
Ki kisine Krisna se sahayta maangi ho
Aur krishna ne usse pura na kiya ho
Chahe wo Radha ho, Draupadi ho, Gokul ki gopiyaan ho
Ya unke raajye ki angeenat stree'an
Dosto, ye hai Krishna ka prem
Ye iss duniya ka, iss lok ka nahi, ye alokik hai
Stree ke prati sammaan, stree ke prati prem ka udhaaran
Jo wo humaare saamne rakh kar gayein hai
Aaj humein ussi ka paalan karne ki aawashyakta hai
Humare jeevan mein aisa prem, aisa pre ude
Ke poora jagat, humare prem ki duhai deta rahe
Bas yahi baat kehte hue main Shailendra Bharti aapse aagya leta hu
Dhanyewaad