Allah Allah Min Raasil Hussain
Popularity ยท Low
YouTube
Searching YouTube...
Lyrics
Salam bar Moharram
Salam bar Karbala
Salam bar Ashoora
Salam bar Hussain
Hussain
As'Salam-o-Alal-Hussain
Wa Ali Ibn-el-Hussain
Wa Aulaad-el-Hussain
Wa Ashaab-el-Hussain
As'Salam-o-Alash-Sha'ib-el-Khazeem
As'Salam-o-Alal-Khadd-ett-Tareem
As'Salam-o-Alal-Badan-ess-Saleem
As'Salam-o-Alat-Taghril Maqro-e-Bil-Qazeeb
As'Salam-o-Alal-Raas-el-Marfou
Allah Allah Minn Raas-el-Hussain
Aey neyza sawaroun ki qayaadat ky shahen'shah
Zulfain teri "Wal Layy'l" hain "Wash-Shams" hy cheh'ra
Aankhon say ayaan Noor-e-Muhammad ka ujaala
Lab tery hain masroof-e-telaa'wat Binn-e-Zehra
Sajday main jhuka sar to ibaadat ka sharf tha
Neyzy pay utha sar to yeh sar Dur-e-Najaf tha
Allah Allah Minn Raas-el-Hussain
Thi Pusht-e-Muhammad to esi sar ka musalla
Aur Chadar-e-Tatheer hay es sar ka amama
"Mann Kunn'tu" ka khutba hay esi sar ka khulaa'sa
Es sar kay sabab karbobala ab hay Mu'all'la
Ye sar na jhuka Khanjar-o-Talwaar kay aagey
Sar zulam ka khamm hay teyray inkaar kay aagay
Allah Allah Minn Raas-el-Hussain
Rooh-e-Hussain
Jabeen-e-Hussain
Aabroo-e-Hussain
Chasmm-e-Hussain
Rukhsaar-e-Hussain
Dehn-e-Hussain
Lab-e-Hussain
Dandaan-e-Hussain
Rukhsaar-e-Hussain
Reesh-e-Hussain
Tuleyye-e-Hussain
Zulf-e-Hussain
Khusboo-e-Hussain
Zehen-e-Hussain
Fikar-e-Hussain
Guftaar-e-Hussain
Haaaaaan...
En aankhoun ko hay Ahmd-e-Mukhtaar ney chuma
Zehra-o-Ali nay Lab-o-Rukhsaar ko chuma
Zulfoun ko Hassan ney hay barday piyar say chuma
Behano ney gala es ka kai baar hay chuma
Sardaari-e-Abbas esi sar say jurdi hay
Aur Zeynab-o-Kulsoom ko yeh Mis'l-e-Ali hay
Allah Allah Minn Raas-el-Hussain
Maujood tha es sar main Muhammad ka khazana
Maqsad tha esi sar ka tou Islam bachaana
Zalim ney bohat chaaha tha es sar Ko jhukana
Yeh sar na jhuka katt gaya Zehra ka gharaana
Es sar ka safar sunn kay jahan routa hay ab takk
Ghaybatt mein ju hay marsiya Khuwanoun ka hay abb takk
Allah Allah Minn Raas-el-Hussain
Aashuor ko Yeh sar Ps-e-Gardan say kata tha
Zarbain thi lagien Teyra bohat khush'k gla tha
Zeynab kay liya waqt qayaamat say karda tha
Zulfon ko pakard kar jo yeh sar shim'r chala tha
Afsos Sar-e-Nouk-e-Senaa jab yeh sar aya
Jalta huwa ghar Sham-e-Gharibaan ka tha sa'yaa
Allah Allah Minn Raas-el-Hussain
Es sar kay Masaa'ib ka yeh pur dard hay qissa
Khooli ney esiy ghar mein jo tandoor mein rakhh'a
Raat aayi tou phir Zauja-e-Khooli ney yeh deykha
Tandoor say ek noor ka dar'ya hay ubalta
Ek bibi se'yah poush nay es sar ko utha'ya
Ro Ro kay kaha haye Ghareeb-e-Binn-e-Zehra
Allah Allah Minn Raas-el-Hussain
Rahib nay yeh sar deykha tha jab Nok-e-Sinaa par
Khooli say kaha koun hay yeh kis ka hay yeh sar
Bola Wo Bad'At'war kay yeh hay Binn-e-Haydar
Rahib nay wo sar ley liya khooli ko diya zarr
Sar goud main rakhey huay routa raha rahib
Awaz-e-Fughaan Zehra ki sunn'ta raha rahib
Allah Allah Minn Raas-el-Hussain
Ye sar kabhi sandooq main tandoor main rakha
ess sar ko darakh'toun pay La'eenoun nay sajaa'ya
Nayzey pay essey shehar ki gali'yon main pherraa'ya
Ham raah asee'ron kay ye sar shaam jab aaya
Sajjad ko Zeynab ko rulaa'tey thay sitam'gar
Sar baali Sakina ko dekhaa'tey Thay sitam'gar
Allah Allah Minn Raas-el-Hussain
Darbar-e-Yazeedi main bapa Jashan-e-Karab tha
Thay aik taraf Ahl-e-Haram muz'tar-o-Gir'yaa
Aur saa'ma'ney tha takht pay marjaana ka bey'ta
Uss takht taley sar tha Hussain-e-Bey'khataa ka
Badmast la'een nashey main lal'kaar raha tha
Dandaan-e-Shah-e-Deen pay chhardi maar raha tha
Allah Allah Minn Raas-el-Hussain
Jiss waqt ye sar shaam kay zin'daan main aaya
Sar bhai ka Zeynab nay kaly'jay say laga'ya
Sajjad nay bey'hoosh Sakeena ko jagaa'ya
Sar baba ka pehlu main Sakeena nay jo paaya
Aey Sarwar O Rehan qayamat ka samaa tha
Shabbir ka sar routa tha aur Shor-o-Fughaan tha
Allah Allah Minn Raas-el-Hussain
As'Salam-o-Alal-Hussain
As'Salam-o-Alal-Raas-el-Marfou