Skip to content

Aadha Ishq

Popularity · Low

YouTube

Searching YouTube...

Lyrics

Namqeen si baat hai har nai si baat me Teri khusboo chal rahi hai jo mere sath me Halka-halka rang beete kal ka Gehra-gehra kal ho jayega Aadha ishq aadha hai aadha ho jayega Kadmo se milon ka wada ho jayega Aadha ishq aadha hai aadha ho jayega Kadmo se milon ka wada ho jayega Be-shumaar raatein, behisaab baaten Paas aate aate ghum ho jaati hain Be-khudi me dhalke, be-kari me jalke Sau hazar yaadein namm ho jaati hain Feeka feeka pal beete kal ka Mehka-mehka kal ho jayega Aadha ishq aadha hai aadha ho jayega Kadmo se milon ka wada ho jayega Aadha ishq aadha hai aadha ho jayega Kadmo se milon ka wada ho jayega Aadha ishq, aadha ishq. Intezar sa hai, imtihan sa hai Itminaan sa hai, kya hai na jaane Ittra rahi hai, ittela huyi hai Inteha huyi hai kaise na jaane Chhalka-chhalka pal beete kal ka Thehra-thehra kal ho jayega Aadha ishq aadha hai aadha ho jayega Kadmo se milon ka wada ho jayega Aadha ishq aadha hai aadha ho jayega Kadmo se milon ka wada ho jayega Aadha ishq