Skip to content

Zindagi Ki Rah Mein

Popularity · Low

YouTube

Searching YouTube...

Lyrics

Zindagi Ki rah mein Takra gaya koi... Zindagi Ki rah mein Takra gaya koi. Zindagi Ki rah mein Ik Roshni andhero mein bikhara gaya koi Zindagi Ki rah mein Takra gaya koi Zindagi Ki rah mein... Wo haadsa wo pahli mulakat Kya kahu Kitni ajab thi surat-e-halat kya kahu Wo kehar wo Ghazab wo jafa Mujhko yaad hai. Wo uski berukhi ki adaa Mujhko yaad hai. Mit-ta nahi he zehan se u cha gaya koi... Zindagi Ki rah mein Takra gaya koi Zindagi Ki rah mein... Pehle wo mujhko dekh kar barham si ho gayi Phir apne hi haseen khayalo mein kho gyi Bechargi pe meri use raham aa gaya Shayad mere tadapne ka andaz bha gaya. Sanso se bhi kareeb mere aa gaya koi. Zindagi Ki rah mein Takra gaya koi Zindagi Ki rah mein. Ab us dil-e-tabah ki halat na puchiye Benam aarzoo ki lazzat na puchiye. Ek ajnabi tha rooh ka Armaan ban gaya. Ik haadsa tha pyar ka Undaan ban gaya. Manzil ka rasta mujhe Dikhla gaya koi... Zindagi Ki rah mein Takra gaya koi Zindagi Ki rah mein. Ik Roshni andhero mein bikhara gaya koi Zindagi Ki rah mein Takra gaya koi Zindagi Ki rah mein.