Skip to content
Lyric
Dive
Public playlists
My playlists
Search
Sign in
Kudmayi (From "Rocky Aur Rani Kii Prem Kahaani")
Pritam • Sachet Tandon • Amitabh Bhattacharya
Popularity · Low
+
Original
0
0
YouTube
Searching YouTube...
Lyrics
Original
Translation
Bilingual
(Salma-sitaaron waali shagna di shab aayi re)
(Banno se banne ki milne ki jo rut laayi re)
(Shehnai yun goonji, sab ki aankhein bhar aayi re)
(Shehnai yun goonji, sab ki aankhein bhar aayi re)
Ho, 16 baras ke do qadam
Chaukhat ke baahar kya gaye
Teri kudmayi ke din aa gaye
Haaye, banno, pardesiya ke desh ke
Chaubaare tujhko bha gaye
Teri kudmayi ke din aa gaye
Le raha sau balayein teri
Mayi-babul ka ghar-baar hai
Ho, genda-gulaabon se saji
Doli teri taiyaar hai
Jhoolon ke mausam woh tere
Humse roke bhi roke na gaye
Teri kudmayi ke din aa gaye
Ni teri kudmayi ke din aa gaye
"Alvida" munderon ko jab tu keh ke jaayegi
Raunaq haveli ki sang leke jaayegi
Koyalein subah kis ko neend se jagayengi?
Dhoop aangne mein ab se kis se milne aayengi?
Khul ke kabhi jo na kaha
Karte hum aaj sweekar hai
Apne bhaiya se kehna na kabhi
Humko tujhse zyada pyaar hai
Haathon mein chude saj gaye
Tere gudiya-khilaune kahan gaye?
Teri kudmayi ke din aa gaye
Oh, 16 baras ke do qadam
Chaukhat ke baahar kya gaye
Teri kudmayi ke din aa gaye
Oh, teri kudmayi ke din aa gaye
(Salma-sitaaron waali shagna di shab aayi re)
(Banno se banne ki milne ki jo rut laayi re)
(Shehnai yun goonji, sab ki aankhein bhar aayi re)
(Shehnai yun goonji, sab ki aankhein bhar aayi re)