Skip to content
Lyric
Dive
Public playlists
My playlists
Search
Sign in
Woh Kagaz Ki Kashti LoFi Flip
Jagjit Singh
Popularity · Low
+
Mandingo · Original
0
0
YouTube
Searching YouTube...
Lyrics
Original
Translation
Bilingual
Yeh daulat bhi le lo, yeh shohrat bhi le lo
Bhale cheen lo mujhse meri jawani
Magar mujhko lauta do bachpan ka saawan
Woh kagaz ki kashti, woh baarish ka paani
Woh kagaz ki kashti, woh baarish ka paani
Muhalle ki sabse purani nishani
Woh budhiya jise bachche kehte the naani
Woh naani ki baaton mein pariyon ka dera
Woh chehre ki jhurrion mein sadiyon ka phera
Bhulaye nahin bhool sakta hai koi
Bhulaye nahin bhool sakta hai koi
Woh chhoti si raatein, woh lambi kahani
Woh chhoti si raatein, woh lambi kahani