Skip to content

Phir Bekhabar

Popularity · Low

YouTube

Searching YouTube...

Lyrics

Dheeme dheeme doobe the Waade saare kal ke Dheeme dheeme khoye the Raste tere dil ke Ab jaise har kadam le Chalta hai mujhko sooni si Ik bagiya mein Khushboo na hai phoolon mein Tehniyan kehti ke ghar yeh Na tera hai Sooni iss duniya mein Mera kya matlab ho Gar na ho tera pehra Yeh duniya bematlab ho Lagti fizool ki yeh Baatein ab saari Saare pal ho Gaye Hain sazaa Dil phir bekhabar hai Tujhse isko sabar hai Kaise samjhayein isko Kyun juda hum ho gaye hain? Dil phir bekhabar hai Iss ko teri kadar hai Chal denge raaste Jo le jayein tujhse parey (Kyun juda hum ho gaye hain?) (Kyun juda hum ho gaye hain?) Le jaayein tujhse parey Chaar kadam bhi aage Badh ke do peeche ho gaye Kaise? Pyaar gar na hota toh Ladhte hum kyun fizool mein Khud se? Teri ankahi si Baaton ko sunn leta hoon Tujhko kyun har kadam pe Apna main chunn leta hoon Lagti fizool ki yeh Baatein ab saari Tere bin soona kyun Hai jahaan? Dil phir bekhabar hai Tujhse isko sabar hai Kaise samjhayein isko Kyun juda hum ho gaye hain? Dil phir bekhabar hai Iss ko teri kadar hai Chal denge raaste Jo le jayein tujhse parey (Kyun juda hum ho gaye hain?) (Kyun juda hum ho gaye hain?) Le jaayein tujhse parey