Skip to content
Lyric
Dive
Public playlists
My playlists
Search
Sign in
Batao Zara
Raval, Darshan
Popularity · Low
+
Original
0
0
YouTube
Searching YouTube...
Lyrics
Original
Translation
Bilingual
Woh lamhe humein, rulate hain kyun?
Sataate hain kyun, batao zara?
Saza hai meri, tere bin yahaan
Hum kaise jiyein, batao zara?
Aise chale jaoge, socha tha yeh na kabhi?
Dil pe jo guzari mere
Tujh pe na guzre kabhi
Barsne lage, jo aansoo mere
Chhupayein kahaan, batao zara?
Woh lamhe humein, rulate hain kyun?
Sataate hain kyun, batao zara?
Kuch is tarah se, toda yeh dil hai
Phir na kisi pe, hoga yakeen
Aise gaye ho, mujhko bhula ke tum
Jaise tere hum, the hi nahi
Palkon pe aane lagi, banke tu ik yaad si
Chaha tha jisko kabhi, woh tum ab rahe nahi
Mohabbat mein kyun, fanaa ho gaye?
Juda ho gaye, batao zara?
Woh lamhe humein, rulate hain kyun?
Sataate hain kyun, batao zara?
Saza hai meri, tere bin yahaan
Hum kaise jiyein, batao zara?