Skip to content
Lyric
Dive
Public playlists
My playlists
Search
Sign in
Panchhi
Farak
Popularity · Low
+
Original
0
0
Listen
YouTube
1
2
3
0:00 / 0:00
Loading YouTube player...
Lyrics offset
Synced
Lyrics
Original
Translation
Bilingual
Par hain par udna na chaahu
Pinjre ki aadat rahi hai
Zakhm hain par dukhna na jaanu
Jeene ki chaahat nahi hai
Narazgi manzilo se
Raahon ko sab dediya
Kaagaz pe khud ko sametoon
Pairon mein bas bediyaan
Guzar tum rahi ho magar raasta mera hai
Sudhar tum rahi ho magar daantna mera hai
Samajhdaar hoon, tumhe khilaaf nazar aata hoon
Bikhar tum rahi ho magar aasra mera hai
Tumhe jitaane ko sab kurban kiya, magar haarna mera hai
Tum chal sako bin kaanto ke isliye bhaagna mera hai
Khul ke jee sako isliye baandhna mera hai
Ye duniya tumse sirf lene aayegi
Tum de sako, isliye maangna mera hai
Darti ho tum kaanpna mera hai
Banti ho tum khaatma mera hai
Mere astitva ka pramaan tumhare pairon mein hai
Laxmi ho tum saadhna mera hai
Jabtak zinda hoon tumhara dushman hoon
Marnopraant kuch khaakh na mera hai
Tum so sako to jaagna mera hai
Ro pado to thaamna mera hai
Tumhari khushi ke siwa koi armaan na mera hai
Lihaaz karti ho
Varna tumhe roke aisa koi bhagwan na baitha hai
Tumhare siwa koi ghar baar na mera hai
Koi Sansaar na mera hai
Meri ungli pakad lo
Do kadam saath chal lo
Bas ghar ko pukaare jiya
Seene se laga lo
Kaandhe par utha lo
Bas baati ko tarse diya
Bhagwan ne sab diya
Par bhagwan na mila
Maa baap mile, bachpan mila
Par dulaar na mila
Jawani mein mohabbat bhi mili
Iqraar na mila
Mushkil mili, maikhana mila
Madadgaar na mila
Mera dil thaam le aisa koi insaan na mila
To waqif nahi main pyaar se
Halaaton ne paala hai, kuch haasil nahi ghar-baar se
Jitna jaana sab de diya, jo baaki usse anjaan main
Ab kya kar sakta hoon? Hote zaahir nahi jazbaat ye
Waqif nahi main pyaar se
Shayad Ye kathor mizaj mere prem ka prateek hai
Hum bhaavnao se insaan, baaki ret ka shareer hai
Rishte mein daraar hain par ye Samvedna ajeeb hai
Tumhe kho na du, dar sa lagta hai
Izhaar karne mein kaayar hu
Ye prem ek tarfa lagta hai
Tum malaal rakhne mein jaayaz ho
Ye sneh ab karza lagta hai
Tumhare hone maatra se
Andher Bhi ghar sa lagta hai
Tumhe dekh ke accha lagta hai
Par hain par udna na chaahu
Pinjre ki aadat rahi hai
Zakhm hain par dukhna na jaanu
Jeene ki chaahat nahi hai
Narazgi manzilo se
Raahon ko sab dediya
Kaagaz pe khud ko sametoon
Pairon mein bas bediyaan