Is Shan-e-Karam Ka Kya
Popularity · Low
Listen
YouTube
0:00 / 0:00
Loading YouTube player...
Lyrics offset
Synced
Lyrics
Nawaazta hai jo sab ko
wo dil nawaaz hai tu
Niyaz mand hain sab
aur beniyaz hai tu
Zamane bhar ke banata hai
sare bigre kaam
Kareem saare zamane ka
kaarsaaz hai tu
Iss shane karam ka kya kehna
Dar pe Jo sawali aate hain
Ik teri kareemi ka sadka
Wo mann ki muraadein paate hain
Iss shane karam ka kya kehna
Khaali na rahi rehmat se teri
Dukh dard ke maaron ki jholi
Kya tera karam hai dar pe tere
Bharti hai hazaron ki jholi
Iss shane karam ka kya kehna
Mushqil ko tu aasan bana deta hai
Har unchahe ummeed ki la deta hai
Taqdeer se ho jaye Jo bhai se juda
Us bhai ko bhai se mila deta hai
Iss shane karam ka kya kehna
Din raat hai mangton ka phera
Kya khoob sakhi hai dar tera
Milti hai karam ki bheekh unhein
Daman Jo yahan phailate hain
Iss dar ki sakhawat kya kahiye
Pakke rishte teri rehmat se
Jo bann jaate hain
Kachche dhage se bandhe log
Chale aate hain
Tu mila deta hai bichchde
Hue insanon ko
Tere andaze karam shaan
Ye dekhate hain
Is dar ki sakhawat kya kahiye
Khali na gaya mangta koi
Muhtaj yahan Jo aate hain
Wo jholiyan bhar ke jaate hain
Iss shane karam ka kya kehna