Skip to content
Lyric
Dive
Public playlists
My playlists
Search
Sign in
Mera Gadha Gadhon Ka Leader
Mohammed Rafi, Mehmood, Ravi & Rajendra Krishan
Popularity · Low
+
Original
0
0
Listen
YouTube
1
2
3
0:00 / 0:00
Loading YouTube player...
Lyrics offset
Synced
Lyrics
Original
Translation
Bilingual
Mera gadha gadhon ka leader
Kehta hai ke Dilli jaa kar
Sab maangein apni kaum ki
Main manwa kar aaunga
Nahin to ghaas na khaaunga
Mera gadha gadhon ka leader
Kehta hai ke Dilli jaa kar
Sab maangein apni kaum ki
Main manwa kar aaunga
Nahin to ghaas na khaaunga
Oh, mera gadha gadhon ka leader
Sabse pehli maang humaari
Dhobi raaj hata do
Sabse pehli maang humaari
Dhobi raaj hata do
Ab na sahenge danda
Chaahe phaansi par latka do
'Gar na maani sarkaar, kiya inkaar
To UNO tak jaaunga
Nahin to ghaas naa khaaunga
Oh, mera gadha gadhon ka leader
Dooji maang ke zaat humaari
Mehnat karne waali
Dooji maang ke zaat humaari
Mehnat karne waali
Phir kyun ye insaan
Gadhe ka naam samajhte gaali
Na badla ye dastoor to ho majboor
Main in par case chalaaunga
Nahin to ghaas naa khaaunga
Mera gadha gadhon ka leader
Teeji maang humaari
Humko de do ek-ek quarter
Teeji maang humaari
Humko de do ek-ek quarter
Hafte mein ek baar
Ghaas ke badle milein tamaatar
'Gar kar do ye ehsaan
Oh, meri jaan, duaaein deta jaaunga
Kabhi na Dilli aaunga
Mera gadha gadhon ka leader
Kehta hai ke Dilli jaa kar
Sab maangein apni kaum ki
Main manwa kar aaunga
Nahin to ghaas na khaaunga
Mera gadha gadhon ka leader