Abbas (As) Alam Tera (Vol 8)
Tejani Brothers
Popularity · Low
Listen
YouTube
0:00 / 0:00
Loading YouTube player...
Lyrics offset
Synced
Lyrics
Abbas Alam Tera Maqtal se Aa raha hai (4)
Yeh Alam Hussainiat ki Pehchan hai karaata
Yeh hi Yazidiat ki hai farq ko batata
Koi choomta hai aa kar (2) koiee jala raha hai
Abbas Alam Tera Maqtal se Aa raha hai (2)
Jazba Ali ka tu-ne is tar-ha se dikhaya
Laakhon ke samnay tu ne sar ko na zhukaya
Abbas apny khoon se (2) Maqtal saja raha hai
Abbas Alam Tera Maqtal se Aa raha hai (2)
Bardasht kar na paaya bach-chon ki woh sadaayen
Thi bas yehi tamanna khaimon mein paani laaye
Mashkeeza bazoo'on kay(2) badlay bacha raha hai
Abbas Alam Tera Maqtal se Aa raha hai (2)
Jaisay Alam gira tha, Waisay giri Sakina
Pani main zindagi bhar maangun gi ab kabhi naa
Ab pani ka tasawur (2) mujh ko rula raha hai
Abbas Alam Tera Maqtal se Aa raha hai (2)
Bazoo to kat chukay hain, kaisay sambhal sakay ga
Ghorhay kay zeen se ab kis tar-ha se giray ga
Abbas apne mu-pe (2) Reti pe Aa raha hai
Abbas Alam Tera Maqtal se Aa raha hai (2)
Duniya nay nahi dekhi kabhi aisi wafadari
Bay Tegh lar kay jis ka sar se hai khoon jaari
Shabbir kay liye wo (2) Bazoo kata raha hai
Abbas Alam Tera Maqtal se Aa raha hai (2)
Itni Ajeeb hai yeh Ghazi ki wafadari
Dariya ko Qabza kar kay Lab py na laya pani
Abbas Tum se Baaqi (2) Naam e Wafa Raha hai
Abbas Alam Tera Maqtal se Aa raha hai (2)
Aakhen taras rahi hain poori karo ye haajat
Kum ko bulao ghazi, aa ke karein ziarat
Hum door hain ye apnay (2) dil ko sata raha hai
Abbas Alam Tera Maqtal se Aa raha hai (2)
Keya martaba hai tera, socho zara Tejani
Pani na laya lab par laikin abhi bhi pani
Ghazi tumharay pairon (2) ko dhoondta raha hai
Abbas Alam Tera Maqtal se Aa raha hai (2)