Skip to content
Lyric
Dive
Public playlists
My playlists
Search
Sign in
Main Kahin Bhi Rahoon
Roop Kumar Rathod, Sukhwinder Singh, Hariharan, Udit Narayan & Sonu Nigam
Popularity ยท Low
+
๐ณ๐ฌ Hausa ยท Original
0
0
Listen
YouTube
1
2
3
0:00 / 0:00
Loading YouTube player...
Lyrics offset
Synced
Lyrics
Original
Translation
Bilingual
Main kahin bhi rahoon har kadam, har ghadi
O, main kahin bhi rahoon har kadam, har ghadi
Mere dil mein basi teri yaad hai
Meri aankhon ki duniya hai suni padi
O, meri aankhon ki duniya hai suni padi
Dil ki duniya magar tujhse aabaad hai
Main kahin bhi rahoon har kadam, har ghadi
ย
Kaise bhoole bichhadne ka wo pal mujhe
Ab bhi kar deta hai jaise pagal mujhe
Mujhse aansoon chhupa ke wo jaana tera
Dekhne phir wo khidki pe aana tera
Mujhe tera woh hasna aur khilkhilana yaad aata hai
Palat ke dekhna aur muskurana yaad aata hai, yaad aata hai
Main kahin bhi rahoon har kadam, har ghadi
Mere dil mein basi teri yaad hai
Main kahin bhi rahun har kadam har ghadi
Rabba re rabba-rabba, rabba re rabba-rabba
Rabba re rabba-rabba, rabba re rabba-rabba
Rab rakha soniya, rab rakha soniya
Rabba re rabba-rabba, rabba re rabba-rabba
Leharate hue kheton ka wo sama
Raah takna mera, tera aana wahan
Tera sharmana wo paas aate hue
Door charvahe bani bajate hue
Ho, door charvahe bansi bajate hue
Yaad hai mujhko teri woh betaabiyaan
Koi aaye toh ho tujhko mera guman
Main kahin bhi rahoon har kadam, har ghadi
Mere dil mein basi teri yaad hai
Main kahin bhi rahoon har kadam, har ghadi
ย
Is anguthi mein jhilmilati hai
Is anguthi mein jhilmilati hai, teri yaadon ki ek kiran aise
Baithi phoolon ki sajili doli mein
Baithi phoolon ki sajili doli mein
Muskuraye dulhan jaise
Jahan bas raaj hai tera
Jahan bas raaj hai tera wo aangan yaad aata hai
Wahan ghutnon jo chalta hai wo bachpan yaad aata hai
Main kahin bhi rahoon har kadam, har ghadi
Mere dil mein basi teri yaad hai
Main kahin bhi rahoon har kadam, har ghadi
ย
Tera har baat par inkaar yaad aata hai mujhko
Na karna koi bhi ikraar yaad aata hai mujhko
Bigadna wo tera har baar yaad aata hai mujhko
Tere gusse mein tha jo pyaar yaad aata hai mujhko
Yaad aata hai mujhko, yaad aata hai mujhko
Tera wo daud ke aana, tera wo daud ke aana
Wo milna yaad aata hai
Tere khamosh hoonthon ka wo hilna yaad aata hai