Skip to content

Mulaqaat

Taimour Baig, Raffey Anwar & AUR
Popularity · Low

Listen

YouTube

0:00 / 0:00
Loading YouTube player...
Lyrics offset
Synced

Lyrics

Tujhe dhoondta hoon ab in hawaon mein Jahan ghoomte thay hum unhi raahon mein Teri khoj mein ye aagya kahan hoon main Tu to mila hi nhi toh kahan jaaun mein Jidhar dekho udhar tujh ko hi paaon main Choona chahon aur choo hi na paaon main Bane aks tera aur larkharaaon mein Zakham khaaun phir bhulaun muskuraun main Jab tum roothte nhi toh kiya manaaun main Jab tu ayegi nhi toh kya bulaun main Krun koshish thori aur ye marjaaun main Muskuraun, gungunaao phir rulaaun main Ek wajah ho tu tujhko bataaun main Wajah chhod tujhko be wajah hi chahoon main Gar tu phool hai toh kaanto pe khara hoon main In raahon mein toh khud se bhi brha hoon main Tere milne ke baad bhi gumrah hoon main Tum bhi khush ho kahin main gum rahon main Panah chaahta tha tere aks ki chaaon mein Tere saaya kare tang aur chup rahoon main Dekha khwaab rakh ke sar teri baahon mein Aese toota jese tootta hai patta aake paaon mein Tum khaas thay na mere, tum se kiya chupa aao main Tum to behtar jaante ho, tum ko kiya bataun main Aaja mujhse milne main yahin hoon, tu nahi Aaja main yahin hoon, tu nahi hai ye kammii Aaja waqt thehra, waqt bhi hai ab sahi Aaja tu kahin se, main kahin hoon tu kahin Mausam kitne hi guzaarey hain khasaroon mein Ab aur iss mausami rishte ko kiya sawaroon main Mohabbat raqs krti hai, ab bazaaron mein Tujhe dhoonda krta tha tb sawalon mein Main tujhe dhoonda krta hoon ab nazaron mein Na main sawalon mein na hi main nazaron mein Main tere baad gina jata tha bicharon mein Agar tha jana tu phir ana kiya tha lazmi Agar tha jana khabar kr deti isharon mein Ishaare janta hoon main ye tum toh jante ho Tere baad bhi hasta hoon magar yaaron mein Ye hansi kitni asal hai ye tum toh jante ho Meri muskaan ke peeche hai ansuon aankhon mein Inn ankhon mein samandar hai tum toh jante ho Main agar roo diya aur kho diya hawas khud ka Tum bheeg jaogy ansuon mein tum toh jante ho Ye dikhawe ki muskurahatein hai tohfa tera Ye ghum kisne diye hai tum toh jante ho Wajah hi bewajah bani rishton ko azmaazey ki Koshish kr leta hoon kabhi apna dard chupane ki Roothi thi tum toh 100 waja thi mananey ki Jo ana chaho tum toh 100 waja doon lout aney ki Sawalon ka hai dhair dil mein jaga nahi samaney ki Main kr donga maaf mujhe wajah de chhod janey ki Aaja mujhse milne main yahin hoon, tu nahi Aaja main yahin hoon, tu nahi hai ye kammii Aaja waqt thehra, waqt bhi hai ab sahi Aaja tu kahin se, main kahin hoon tu kahin It's been a while karte baatein pr hum mile nahi Gaano mein keh dete hain rakhte ab koi gilay nahi It's been a long way, it's been a long time Shukar karo khuda ka ke nazron se tum gire nahi Hustle karte gaye, aur agay badhte gaye A long drive pooray rastay hum ladte gaye Yaaar mere dost mere friends are reviving Baby roko tum dekh nahi rahin i'm driving Kisi se bhi krti nahi, koi nahi hai uski type ka Mai krta nhi deserve use, na main uske layak tha Tu uski ek sune, wo teri chay sune Par shayad use pata nahi hai meri hype ka Tappu mein goli, aur kamray andhere Tu dede jawab ab sawalon ke mere Krti hai asar, main dekhun sawere Bichata hoon linen, main naamo ki tere Tum athay jate rehte ho ye dil hai bazaar nahi Ab mujhe tere wado pe hai aitbaar nahi Halke halke bole call pe aati awaaz nahi Kya main nhi maronga mujhpe hoga azaab nahi Wo mujhse puchti kya milta tumhe ganay se Paisay ata, kya main rokh doon ab anay se Likhein sawal in kitabon main tu de jawaab Aur kya kya karen tujhpe likh baithe hain lajawab Aaja mujhse milne main yahin hoon, tu nahi Aaja main yahin hoon, tu nahi hai ye kammii Aaja waqt thehra, waqt bhi hai ab sahi Aaja tu kahin se, main kahin hoon tu kahin