Skip to content
Lyric
Dive
Public playlists
My playlists
Search
Sign in
Looking For You
Nikhil - Swapnil
Popularity · Low
+
Original
0
0
Listen
YouTube
1
2
3
0:00 / 0:00
Loading YouTube player...
Lyrics offset
Synced
Lyrics
Original
Translation
Bilingual
Jo mumkin nahi hai
Teri ankhon mein dekh paana
Main tabhi likhu ek gaana
Besabar raha puri umar
Tu ek nazar se mujhko dekh
Ab tu nazray pher leta
Jo mai dekhta tha
Koshish hai
Tujhe bhulaane ki
Par yaadein banke taare
Dil mai shaam kar rahi hai
Maine khwaabo ka makan tha
Banaya mere mann mein
Mann yeh toot jayega
Jo usmai rehte hum nahi hai
Inaam kya mohabbatto ka?
Agar annt mai ho
Ankhein namm bhi diljalo ka
Tha teri baaton mein
Main apna bachpana bhi dhundhta
Mai tujhse milkay
Seekha ishq kuch dino ka
Tabhi, Main likhu ek gaana
Kyuki mushkil hai yeh aansu rok paana
Puri zindagi bitaani
Maano tere intezaar mein
Ittefaq se kabhi tujhe mai dekh pata
Main Tanha ghoom raha hu Main tujhko dhundh raha hu
Khaabo mai choom raha hu
Main tujhko dhundh raha hu
Ke dil ab lagta nahi hai
Kahin tu milta nahi hai
Main hasna bhool chuka hu
Main tujhko dhundh raha hu
Hai toote rehne de khaab humaare
Hai duur toh duur rahe yeh kinaare
Na hasrat rakhna manzil ki ab
Bhool ke mujhko, bhool jaa rahein
Mere chehre ki khamoshi
Ek naqaab bangaya
Sochi ek teri awaaz toh
Malhaar bangaya
Waqt thamte maine
Dekha tere intezaar mai
Tere ghar se lautke mai
Kitni baar ghar gaya
Phirse chahta teri khamoshi
Hasi, kami, aur khamiya
Theek tha akele tuney
Chodh ke tabah kiya
Yeh baat samjhi iss qadar
Jo gumshuda mai hogaya
Tu de vahi zakham ke maine
Dil vahi bana liya
Mai tabhi likhu
Ek gaana kyuki mushkil hai
Abhi yeh aansu rok paana
Haalaki tamaam koshishe
Kari h bhool jane ki
Par shayad namumkin hai
Tujhe aise bhul jaana
Maahi, neendo mai akay tu raen yeh sudhaar
Maahi, naino bas jaa tu chaen de udhaar
Main Tanha ghoom raha hu
Main tujhko dhundh raha hu
Khaabo mai choom raha hu
Main tujhko dhundh raha hu
Ke dil ab lagta nahi hai
Ke tu kahin milta nahi hai
Main hasna bhul chuka hu
Main tujhko dhundh raha hu
Hai toote rehne de khaab humaare
Hai duur toh duur rahe yeh kinaare
Na hasrat rakhna manzil ki ab
Bhool ke mujhko, bhool jaa rahein