Jane Woh Kaise Log The
Popularity · Low
Listen
YouTube
0:00 / 0:00
Loading YouTube player...
Lyrics offset
Synced
Lyrics
Jaane Woh Kaise
Log Thay Jinke,
Pyaar Ko Pyaar Mila.
Jaane Woh Kaise Log Thay Jinke,
Pyaar Ko Pyaar Mila
Humne Toh Jab Kaliyaan Maangi,
Kaanton Ka Haar Mila.
Jaane Woh Kaise Log Thay Jinke
Pyaar Ko Pyaar Mila
Khusiyon ki manzil dhundhi toh,
Gham ki gard mili
Khusiyon ki manzil dhundhi toh
Gham ki gard mili
Chahat ke nagme chahe toh
Aahein shard mili
Dil ke bojh ko doona kar gaya
Jo gamdaar mila.
Humne Toh Jab Kaliyaan Maangi,
Kaanton Ka Haar Mila
Jaane Woh Kaise Log Thay Jinke,
Pyaar Ko Pyaar Mila
Bichhad Gayaa... Bichhad Gayaa
Bichhad Gayaa har saathi de kar
Pal do pal ka saath
Kisko Phursat Hai Jo Thaame
Deewane Ka Haath
Humko Apna Saaya Tak
Aqsar Bezaar Mila
Humne Toh Jab Kaliyaan Maangi
Kaanton Ka Haar Milaaa
Jaane Woh Kaise Log Thay Jinke
Pyaar Ko Pyaar Mila
Isko Hi Jeena Kehte Hain Toh,
Yunhi Ji Lenge
Isko Hi Jeena Kehte Hain Toh,
Yunhi Ji Lenge
Uff Na Karenge Lav Se Lenge,
Aansoon Pee Lenge
Gham Se Ab Ghabraana Kaisa,
Gham Sau Baar Mila
Humne Toh Jab Kaliyaan Maangi
Kaanton Ka Haar Mila.
Jaane Woh Kaise,
Log Thay Jinke,
Pyaar Ko Pyaar Mila.