Skip to content
Lyric
Dive
Public playlists
My playlists
Search
Sign in
Tujhe Suraj Kahoon Ya Chanda
Manna Dey
Popularity · Low
+
Original
0
0
Listen
YouTube
1
2
3
0:00 / 0:00
Loading YouTube player...
Lyrics offset
Synced
Lyrics
Original
Translation
Bilingual
Tujhe "Sooraj" kahoon ya "Chanda"
Tujhe "Deep" kahoon ya "Taara"
Mera naam karega raushan
Jag mein mera raaj dulaara
Tujhe "Sooraj" kahoon ya "Chanda"
Tujhe "Deep" kahoon ya "Taara"
Mera naam karega raushan
Jag mein mera raaj dulaara
Main kab se taras raha tha
Mere aangan mein koi khele
Nanhi si hansi ke badle
Meri saari duniya le-le
Tere sang jhool raha hai
Meri baanhon mein jag saara
Mera naam karega raushan
Jag mein mera raaj dulaara
Tujhe "Sooraj" kahoon ya "Chanda"
Tujhe "Deep" kahoon ya "Taara"
Mera naam karega raushan
Jag mein mera raaj dulaara
Aaj ungli thaam ke teri
Tujhe main chalna sikhlaaoon
Kal haath pakadna mera
Jab main boodha ho jaaoon
Tu mila to maine paaya
Jeene ka naya sahaara
Mera naam karega raushan
Jag mein mera raaj dulaara
Tujhe "Sooraj" kahoon ya "Chanda"
Tujhe "Deep" kahoon ya "Taara"
Mera naam karega raushan
Jag mein mera raaj dulaara
Mere baad bhi is duniya mein
Zinda mera naam rahega
Jo bhi tujh ko dekhega
Tujhe mera laal kahega
Tere roop mein mil jaayega
Mujh ko jeevan dobaara
Mera naam karega raushan
Jag mein mera raaj dulaara
Tujhe "Sooraj" kahoon ya "Chanda"
Tujhe "Deep" kahoon ya "Taara"
Mera naam karega raushan
Jag mein mera raaj dulaara