Skip to content
Lyric
Dive
Public playlists
My playlists
Search
Sign in
Aaja Maahi
Divyansh Kacholia (DVK)
Popularity · Low
+
Original
0
0
Listen
YouTube
1
2
3
0:00 / 0:00
Loading YouTube player...
Lyrics offset
Synced
Lyrics
Original
Translation
Bilingual
Samudra ke kinare baitha hoon main
Jahaan hum-tum baithe the
Yaad kar raha hoon woh pal
Jab hum ek-dooje ke the
Tu mere saath hi thi
Haathon mein haath tha
Aankhon mein izhaar tha
Pal woh khaas tha
Rang se be-rang ho gayi zindagi
Jab se tu waapas gayi
Lage ke abhi bhi tu mere saath
Par sach nahin hai yeh
Ab nahin hai tu, mere paas se jaa chuki hai tu
Phir bhi yeh dil aas lagaye baitha hai
Tere dil se milne ke khwaab sajaye baitha hai
Nadaan dil bas ek hi baat kehta rehta hai
Aaja, maahi, aaja, maahi, aaja
Dhadkanein mujhe meri lauta jaa
Dil ko phir se dil tu bana de
Ek baar bas gale laga jaa
Aaja, maahi, aaja, maahi, aaja
Dhadkanein mujhe meri lauta jaa
Dil ko phir se dil tu bana de
Ek baar bas gale laga jaa
Lehron ke mann mein sawaal hai
Ke tera maahi kahaan hai
Chaand bhi taaron se poochhe
Ke iska humsafar kahaan hai
Bataya maine inhein
Ke tera dil ab tere paas nahin
Kisi aur ki amaanat
Ab tu meri humraaz nahin
Phir mujhse sawaal poocha aasmaan ne
Ke yahaan par main kya kar raha hoon
Kya aaya jeene iss pal ko dobara
Ya chhodne gham ka gubbara?
Phir maine kaha, "Gham ki yeh dor
Kaise main chhod doon?
Aakhiri nishani pyaar ki
Hawa ko kaise saunp doon"
Aaja, maahi, aaja, maahi, aaja
Dhadkanein mujhe meri lauta jaa
Dil ko phir se dil tu bana de
Ek baar bas gale laga jaa
Aaja, maahi, aaja, maahi, aaja (maahi, aaja)
Dhadkanein mujhe meri lauta jaa (lauta jaa)
Dil ko phir se dil tu bana de (bana de)
Ek baar bas gale laga na