Skip to content
Lyric
Dive
Public playlists
My playlists
Search
Sign in
Ye Awaaz Hai
Anu Malik
Popularity · Low
+
Soninke · Original
0
0
Listen
YouTube
1
2
3
0:00 / 0:00
Loading YouTube player...
Lyrics offset
Synced
Lyrics
Original
Translation
Bilingual
Main aankhon ke dar miluun naa agar
Mera ik pata ye awaz hai, ye aavaaz hai
Naa ho roshni, hon raatein ghani
To cheharaa mera ye awaz hai, ye awaz hai
Mera aks ye jo tasveer hai
Lahar ne chuaa to dhul jaaegaa
Jo pahchaan hai mere naam se
Vo ek naam shoron mein ghul jaaegaa, ghul jaaegaa
Ye hasti meri agar door hai
To us ka sira ye awaz hai, ye awaz hai
Naa ho roshni, hon raatein ghani
To cheharaa mera ye awaz hai, ye awaz hai
Hatheli teri chhui to lagaa
Ye duniyaa mujhi pe meharbaan hai
Safar hai vahee, vaheen manzilen
To phir kyun lage raah aasaan hai, raah aasaan hai?
Tere zikr se khanakati hai jo
Vahee ek sada ye awaz hai, ye awaz hai
Naa ho roshni, hon raatein ghani
To cheharaa mera ye awaz hai, ye awaz hai
Agar dard ka koyi rang hai
Main us rang mein goonjataa shor hoon
Mera khwaab tha rahoon khwaab mein
Magar main haqiqat mein kuch aur hoon, kuch aur hoon
Kisi gam ka ye ab ilzaam den
Khud hee se kafa ye awaz hai, ye awaz hai
Naa ho roshni, hon raatein ghani
To cheharaa mera ye awaz hai, ye awaz hai
Ye aandhi muje giraati rahe
Ise kya gumaan hai main dar jaaongi?
Lo sau baar tum bikhero muje
Hazaaron guna main nikhar jaaongi, nikhar jaaongi
Jo toote magar naa badle bayaan
Vahee aaeena ye awaz hai, ye awaz hai
Naa ho roshni, hon raatein ghani
To cheharaa mera ye awaz hai, ye awaz hai
Andhera bhee hai, ujalaa bhee hai
Yaheen to sahar kee shuruyaat hai
Parinda akela hai akaash mein
Magar khush hai vo aaj azaad hai, aaj azaad hai
Jahaan khatm hai vaheen se shuru
Naee daastaan ye awaz hai, ye awaz hai
Naa ho roshni, hon raatein ghani
To cheharaa mera ye awaz hai, ye awaz hai
Main aankhon ke dar miluun naa agar
Mera ik pata ye awaz hai, ye awaz hai