Skip to content
Lyric
Dive
Public playlists
My playlists
Search
Sign in
Saye Ka Ghar
Big Scratch
,
Sez on the Beat
Popularity · Low
+
Original
0
0
Listen
YouTube
1
2
3
0:00 / 0:00
Loading YouTube player...
Lyrics offset
Synced
Lyrics
Original
Translation
Bilingual
Khoya rehta main khayalon mein main khush hu yaha
Mere khwahishon ka aashiya main dhundu kaha
Teri aankhon ke us paar hai ek saye ka ghar
Usko aansu ke sahare karde khud se juda
Khoya rehta main khayalon mein main khush hu yaha
Mere khwahishon ka aashiya main dhundu kaha
Teri aankhon ke us paar hai ek saye ka ghar
Usko aansu ke sahare karde khud se juda
Mere andar se haiwaan ko nikaal de
Yaa toh khulke mujhko jeene de ya maar de
Yeh awaazein mujhpe kaabu paana chahti hai
Mere andar ke awaazon ka shikaar main
Mere bas mein nahi ki main dekhu ek aur din
Par fir mujhme kaafi na hone ka khauf hai
Gar main kehdu ki yeh raat meri aakhri
Kya sukoon milne ayegi fir lautke
Cheera chamda peeda lagta ab nazdeeki hai
In awaazon se toh behtar meri cheekh hi hai
Chahe maut meri marzi se hi aayi thi
Tu laachar hokar manga toh woh bheekh hi hai
Kalakaari ke na layak naa hi kaabil main
Mere gaane mehez rehem ki guzaarish hai
Ek toofaan thi, aur ghar tha mera hauslon ka
Us imaarat ko mita diya fir baarish ne
Khoya rehta main khayalon mein main khush hu yaha
Mere khwahishon ka aashiya main dhundu kaha
Teri aankhon ke us paar hai ek saye ka ghar
Usko aansu ke sahare karde khud se juda
Kehti thi
Maa meri mujhse yu kehti thi
Khuda pe bharosa khona matt
Khud woh us bharose choton ko sehti thi
Life did a 360 karu main kya
Mera khuda khada waha mujhse khafa
Maine maana hai hai sabkuch hai sabkuch saha
Fir Akele mein duniya se ladd main gaya
Na sharm na haya
Duniya ne choda ek kasar bhi nahi
Duniya ne diye hai zakham bhi kai
Socha main chodunga yaadon ko peeche
Par samay ka sadmo par asar hi nahi
Meri aankhon ke peeche ek saaye ka ghar
Saanon pe ab uska kaafi asar
Kaanon mein usi ke baaton ka bojh
Bas wahi dikhe mujhe aaine par
Huh real story
Kamre mein andhera lagra tha
I changed the lights and I felt sorry
All of your talk is not help for me
Dafnata reh gaya main yaadon ko itni dafa
Now my thoughts are like dead bodies
Just me in my room is like hell for me
Feel like the devil just sent for me
Fuck it, I said sorry
Woh bachpan ka Arnab depends on me
Uske haathon ko kaise main choru bhala
Waada tha usse woh haarega nahi
Kaise un waadon ko todu Bhala
Bistar ye raaton ko lagta kaffan
Chayn se kaise main so ki bhala
In aankhon ke peeche ek saaye ka ghar
Chahkar bhi kaise main rodu bhala
Khoya rehta main khayalon mein main khush hu yaha
Mere khwahishon ka aashiya main dhundu kaha
Teri aankhon ke us paar hai ek saye ka ghar
Usko aansu ke sahare karde khud se juda
Khoya rehta main khayalon mein main khush hu yaha
Mere khwahishon ka aashiya main dhundu kaha
Teri aankhon ke us paar hai ek saye ka ghar
Usko aansu ke sahare karde khud se juda
Sez on the beat, boy