Skip to content

Ya Hussain

Abbas Raza
Popularity · Low

Listen

YouTube

0:00 / 0:00
Loading YouTube player...
Lyrics offset
Synced

Lyrics

rozey ashoora kaysa hai yeh waqt aaya lashkar me koi bakhi na raha maula khada hai mera tanha aakhir kaisa dikh raha hai hai yeh samaa'n karti hai bibiya aaho fugha tharrati hai dashte karbala aur surkh ho jaata hai aasmaa'n wo hai zamane me faqat aapka dar rahib ko jo aata karta ho pisar bepar fitrus ko inayat hue par ajr musalma'n ne diya iska magar lakdiya lakar jo jalaya gaya dar ummat ki aal e nabi saws se thi wafa loota gaya karbala me aapka ghar tum ho dil e fatima zehra s.a ka chain mustafa saws o murtaza asws ke noore ain aye pisar e fatahe badro hunain naam tera ran ne rakha hussain asws deen e nabi saws par jo musibat padi aaye madad karne shahe mashraqain maula hussain a.s sabir nahi koi tujhsa jo imteha'n tuney tha diya raazi usse hai tera kibriya dekhi jo sinaye akbar me churi aaye madad karne maula ali as aagya sath me akbar ka jigar khainchi sarwar ne jo naize ki ani maula hussain rakhle apne jo ghulamo ka bharm is tarha se manaye aapka gham aapke gham me ho meri aankh nam sina zani karte rahe aakhri dam kariye azadaro pa maula yeh karam ho sake hamlog julooso me shareek aur jo ho hath me ghazi ka alam maula hussain a.s qurbani di tuney wallah rab ne kaha ababdillah razi hai tujhse tera allah shariyat e mabood bachgayi halq e sarwar pe chali hai jab churi masjide mabood bhi tharra uthi karbal me ujdi hai aal e nabi maqta... maula hussain a.s ham hai tere dar ke naukar kardijye yeh karam hampar rauze par apke kham ho mera sar hai dil me ziyarat e karbala dekhege maula kab rauza tera khoob kare dar pa tere seenazani