Skip to content
Lyric
Dive
Public playlists
My playlists
Search
Sign in
Aashiqana
Song, Chaar Diwaari, Indian Ocean,
Popularity · Low
+
Original
0
0
Listen
YouTube
1
2
3
0:00 / 0:00
Loading YouTube player...
Lyrics offset
Synced
Lyrics
Original
Translation
Bilingual
Koi parvana tha
Kisson mein raag mein
Koi kitaab mein
Birha ki aag mein
Kanha ye khela hai kya!
Khol ke pankh vo
Jab vann mein udaa
Raat mein roshni
Takk hua bawra
Kanha ye khela hai kya!
Aisa Vo nadan tha
Aag se hi pyaar tha
Maut bhi jo aaye
Toh vo hass ke mare
Aashiqana jashn chalta rahe
Main tumhara kal jo hum na rahein
Aashiqana jashn chalta rahe
Main tumhara
Aur koi thi Shamaa
Koi aftaab si
Baatein rabaab si
Kachi sharaab si
Kanha ye khela hai kya!
Nashaa aisa chadhaa
Bekhud ho gaya
Prem ki lapton mein
Parvana kho gaya
Kanha ye khela hai kya!
Jalte charaagon mein tu jo mila
Suraj mein paya jo tera pataa
Chandaa mein dekhi jo teri chhavi
Pagal hua main Diwana hua
Humne mana tagaaful
Karoge nahi
Ye toh ghalib ko bhi hai pataa
Jab ho tumko khabar
Gar na aau nazar
Usme jana meri kya khataa?
Aisa main nadan tha
Aag se hi pyaar tha
Maut bhi jo aaye
Toh hum hass ke marein
Aashiqana jashn chalta rahe
Main tumhara kal jo hum na rahein
Aashiqana jashn chalta rahe
Main tumhara
Aa kar ke baitho
Ab na sataao
Dekho meri jaan
Hui shaam hai
Aansu ko poncho
Baahon mein aao
Kitni meri jaan
Tu Pareshaan hai
Dhal gayi hai ghataa
Udd gaya hai dhuan
Baahon mein aa so ja
Mujhme tu gumm ho ja
Kal ko rihaa do
Gham ko bhulaao
Dekho na kitna
Aram hai
Aisa tu nadan tha
Aag se hi pyaar tha
Maut bhi jo aaye
Toh tu hass ke mare
Aashiqana jashn chalta rahe
Main tumhara kal jo hum na rahein
Aashiqana jashn chalta rahe
Main tumhara
Aashiqana jashn chalta rahe
Main tumhara kal jo hum na rahein
Aashiqana jashn chalta rahe
Main tumhara
Aashiqana jashn chalta rahe
Main tumhara kal jo hum na rahein
Aashiqana jashn chalta rahe
Main tumhara
Aashiqana jashn chalta rahe
Main tumhara kal jo hum na rahein
Aashiqana jashn chalta rahe
Main tumhara