Skip to content
Lyric
Dive
Public playlists
My playlists
Search
Sign in
Chand Sitare
Rajesh Roshan
Popularity ยท Moderate
+
๐ณ๐ฌ Hausa ยท Original
0
0
Listen
YouTube
1
2
3
0:00 / 0:00
Loading YouTube player...
Lyrics offset
Synced
Lyrics
Original
Translation
Bilingual
Chaand, sitaare, phool aur khushboo
Chaand, sitaare, phool aur khushboo
Yeh toh saare purane hain
Taaza-taaza kali khili hai
Hum uske deewane hain
Arey, kaali ghatayein, barkha, saawan, ho
Kaali ghatayein, barkha, saawan
Yeh toh sab afsane hain
Taaza-taaza kali khili hai
Hum uske deewane hain
ย
Andaaz hain uske naye-naye
Hai naya-naya deewana-pan, ho
Andaaz hain uske naye-naye
Hai naya-naya deewana-pan
Pehna ke taaj jawaani ka
Hans ke laut gaya bachpan
Geet-ghazal sab kal ki baatein, ho
Geet-ghazal sab kal ki baatein
Uske naye tarane hain
Taaza-taaza kali khili hai
Hum uske deewane hain
ย
Hai roop mein itna saada-pan
Toh kitna sundar hoga mann, ho
Hai roop mein itna saada-pan
Toh kitna sundar hoga mann
Bin gehne aur singaar bina
Woh toh lagti hai dulhan
Kaajal, bindiya, kangan, jhumke, oh
Arey, kaajal, bindiya, kangan, jhumke
Yeh toh guzre zamane hain
Taaza-taaza kali khili hai
Hum uske deewane hain
ย
Chaand, sitaare, phool aur khushboo
Yeh toh saare purane hain
Taaza-taaza kali khili hai
Hum uske deewane hain
Arey, kaali ghatayein, barkha, saawan
Yeh toh sab afsane hain
Taaza-taaza kali khili hai
Hum uske deewane hain
ย