Skip to content

Aakh Meri Tarse

Gravity
Popularity · Low

Listen

YouTube

0:00 / 0:00
Loading YouTube player...
Lyrics offset
Synced

Lyrics

Teri aakhon mein, dikhta tha pura yeh jahaan, Ab main kahan hoon laapata, hoon maangta main aasra, Bas ek jagah, chahe woh kandha ya tan tera Lipat ke rone de jab tak na bhare mann mera Darte aap, khurdure kyun kar diye ehsaas? Na tha mazaak, tha ikraar shabdon se bayaan Par ab mai foot-footke barsata ashk mere Kal tak thhe khushi mein marhoom, sab kuch ab khatm kehre Ha, dhokebaazi yaha muft ki, aazmaishein thi rooh ki na ki husan ki Kahin main khush nahi aur jitni baatein bhi thi adhuri, reh chuki gupt hi Kyun na sab kuch sahi? Woh na bole kuch, aur main bhi rehta chup nahi Akelepan ki bhaari yeh udaasi dil mai chub rahi Sab kuch hai mere paas bas yeh sukh nahi Lelo aaj agar mujhse jahaan, toh mujhe dukh nahi Aakh meri tarse, raakh hue jalse Aaj bewafa aur mulakat nahi kal se Aas meri tadpe, mashaal nahi jalte Chandni hai raat, chalo aaj kahin chalte Aakh meri tarse, raakh hue jalse Aaj bewafa aur mulakat nahi kal se Aas meri tadpe, mashaal nahi jalte Chandni hai raat, chalo aaj kahin chalte Socha, socha, maine kaafi socha, Khoja tujhko, maine kaafi khoja Khaali thhi dil mein kuch jagah yaha par aake soja, Jo tujhe napasand toh dekh munh chupake rota Ek lauta na tera chahnewala tha main, Par unn aakhon ki gehriyon mein khudko khoo main baitha Jeet ke bhi haara, koi aur bana vijeta, Khel zindagi ka, paase koi aur daboch baitha Aahein bharta, in paheliyon mein rehta gum, Kaise hua yeh sab? Hai yaadon par ab rehti dhundh Dila na yaad sharabi ko peene ke bahaane Dila de ab is raahi ko kuch jeene ki wajahein Mujhe tu sargam ya riyaaz de, Kam se kam sangeet se ho dard teri yaad mein Uth chuki arthiyan aur uth chuka vishwas hai, Mar chuke hai sapne, mit'ta mera itihaas hai Aakh meri tarse, raakh hue jalse Aaj bewafa aur mulakat nahi kal se Aas meri tadpe, mashaal nahi jalte Chandni hai raat, chalo aaj kahin chalte Aakh meri tarse, raakh hue jalse Aaj bewafa aur mulakat nahi kal se Aas meri tadpe, mashaal nahi jalte Chandni hai raat, chalo aaj kahin chalte