Baat Nikelgi
Popularity · Low
Listen
YouTube
0:00 / 0:00
Loading YouTube player...
Lyrics offset
Synced
Lyrics
Baat niklegi to phir dur talak jaayegi
Log bevajaah udaasi kaa sabab puuchhenge
Ye bhi puuchhenge ke tum itani pareshaan kyon ho
Ungliyaan uthegi sookhe hue baalo kii taraf
Ek najar dekhenge gujarey huye saalon kii taraf
Chudiyon par bhi ke tanj kiye jaayenge
Kaapatein haathon par bhi fikarey kase jaayenge
Log jaalim hai har ek baat kaa taana denge
Log jaalim hai har ek baat kaa taana denge
Baton baton main meraa zikr bhi le aayenge
Un kii baton kaa jaraa sa bhi asar mat lenaa
Varanaa chehre ke taasur se samaj jaayenge
Chaahe kuch bhi ho savalat naa karnaa unase
Chaahe kuch bhi ho savalat naa karnaa unase
Mere bare main koi baat naa karnaa unase
Baat niklegi to phir dur talak jaayegi