Skip to content
Lyric
Dive
Public playlists
My playlists
Search
Sign in
Pal (Paused)
Javed-Mohsin
Popularity · Low
+
Soninke · Original
0
0
Listen
YouTube
1
2
3
0:00 / 0:00
Loading YouTube player...
Lyrics offset
Synced
Lyrics
Original
Translation
Bilingual
Pal ek pal mein hi tham sa gaya
Tu haath mein haath jo de gaya
Chaloon main, jahaan jaaye tu
Daayein main tere, baayein tu
Hoon rut main, hawaayein tu, saathiya
Hansoon main, jab gaaye tu
Roun main, murjhaaye tu
Bheegoon main, barsaaye tu, saathiya
Saaya mera hai teri shakal
Haal hai aisa kuch aajkal
Subah main hoon, tu dhoop hai
Main aaina hoon, tu roop hai
Yeh tera saath khoob hai, humsafar
Tu ishq ke saare rang de gaya
Phir kheench ke apne sang le gaya
Kahin pe kho jaayein, chal
Jahaan yeh ruk jaayein pal
Kabhi na phir aaye kal, saathiya
Ek maange agar, sau khwaab doon
Tu rahe khush, main aabaad hoon
Tu sab se juda-juda sa hai
Tu apni tarah-tarah sa hai
Mujhe lagta nahin hai tu doosra
Pal ek pal mein hi tham sa gaya
Tu haath mein haath jo de gaya
Chaloon main, jahaan jaaye tu
Daayein main tere, baayein tu
Hoon rut main, hawaayein tu, saathiya
Hansoon main, jab gaaye tu
Roun main, murjhaaye tu
Bheegoon main, barsaaye tu, saathiya