Skip to content
Lyric
Dive
Public playlists
My playlists
Search
Sign in
Jab Tak Maine Samjha (From "Bheegi Palken")
Jugal Kishore- Tilakraj
Popularity · Low
+
Original
0
0
Listen
YouTube
1
2
3
0:00 / 0:00
Loading YouTube player...
Lyrics offset
Synced
Lyrics
Original
Translation
Bilingual
Jab tak maine samajha jivan kya hai
Jivan biit gaya jivan biit gaya
Jab tak maine samajha jivan kya hai
Jivan biit gaya jivan biit gaya
Khushiyon ke har phool se maine gam kaa haar piroyaa
Pyaar tamanna thi jivan kii pyaar ko paake khoyaa
Apano se khud tod ke naata apanepan ko royaa
Apanepan ko royaa
Jab tak maine samajha apana kya hai
Sapana tut gaya sapana tut gaya
Jab tak maine samajha jivan kya hai
Jivan biit gaya jivan biit gaya
Jivan ke kis mode pe aake dur hue wo dil se
Aandhi samay kii uda ke le gai mere nasheman ke tinke
Vaadein karke pyaar-vafaa ke bichade saathi mil ke
Bichade saathi milke
Jab tak maine samajha saath kya hai
Saathi chhot gaya saathi chhot gaya
Jab tak maine samajha jivan kya hai
Jivan biit gaya jivan biit gaya
Toote rishte yaad main unki kyun bhigi hai palken
Toote rishte yaad main unki kyun bhigi hai palken
Bikhare-bikhare dil ke tukade unki khatir tadpe
Pyaasi aankhe pi jaae ansu aankhon se naa chhalke
Aankhon se naa chhalke
Jab tak maine samajha ansu kya hai
Daaman bhig gaya daaman bhig gaya
Jab tak maine samajha jivan kya hai
Jivan biit gaya jivan biit gaya