Skip to content
Lyric
Dive
Public playlists
My playlists
Search
Sign in
Maana Ke Hum Yaar Nahin
Parineeti Chopra/Sachin-Jigar, Kausar Munir
Popularity · Low
+
Original
0
0
Listen
YouTube
1
2
3
0:00 / 0:00
Loading YouTube player...
Lyrics offset
Synced
Lyrics
Original
Translation
Bilingual
Maana ke hum yaar nahin
Lo tay hai ke pyaar nahin
Maana ke hum yaar nahin
Lo tay hai ke pyaar nahin
Phir bhi nazrein na tum milaana
Dil ka aitbaar nahi
Maana ke hum yaar nahi...
Raaste mein jo milo toh
Haath milaane ruk jaana
Ho... Saath mein koi ho tumhare
Door se hi tum muskaana
Lekin muskaan ho aisi
Ki jisme ikraar nahi
Lekin muskaan ho aisi
Ki jisme ikraar nahi
Nazron se na karna tum bayaan
Woh jis’se inkaar nahi
Maana ke hum yaar nahi...
Phool jo band hai panno mein tum
Usko dhool bana dena
Baat chhide jo meri kahin tum
Usko bhool bataa dena
Lekin wo bhool ho aisi
Jis’se bezaar nahin
Lekin wo bhool ho aisi
Jis’se bezaar nahin
Tu jo soye toh meri tarah
Ik pal ko bhi karaar nahin
Maana ki hum yaar nahi...