Skip to content

Aakhri Salaam (From "De De Pyaar De 2")

Popularity · Low

Listen

YouTube

0:00 / 0:00
Loading YouTube player...
Lyrics offset
Synced

Lyrics

Kahin toh mile woh rahatein Jahan koi gham na ho Bin baat ke jahan meri Aankhein bhi nam na ho Kahin toh mile woh rahatein Jahan koi gham na ho Bin baat ke jahan meri Aankhein bhi nam na ho Dil bhar gaya mujhse tera Yeh jaanta hai dil mera Kuch reh gaya ho toh bol do Khamoshiyan sab tod ke Jo dil mein hai sab bol ke Haan keh raha hoon alvida Main tujhe aakhri salaam karta hoon Khudse bhi zyada pyaar karta hoon Meri jaan tujhpe nisaar karta hoon Main tujhe aakhri salaam karta hoon Alvida alvida kehne ki himmat Juta li hai Jahan teri yaadein na ho woh duniya Bhi saja li hai Alvida alvida kehne ki himmat Juta li hai Jahan teri yaadein na ho woh duniya Bhi saja li hai Mere baare mein sochegi kabhi Aankhein phir bhar aayengi Maangogi khuda se wapas mujhko tum Lekin phir na paaogi Main lada tha khuda se Tujhe paane ke liye Phir lada main ussi se Bhulaane ke liye Mere baad mein jisse chaahogi Dil uska toh na dukhaogi Main seh gaya kya woh seh lega? Khamoshiyan sab tod ke Jo dil mein hai sab bol ke Haan keh raha hoon alvida Main tujhe aakhri salaam karta hoon Khudse bhi zyada pyaar karta hoon Meri jaan tujhpe nisaar karta hoon Main tujhe aakhri salaam karta hoon Tu safar mein kyun mila Zindagi ka gham yahi hai Phir kabhi jo jud na paaye Itne toote hum nahi hain Humse jhoothe woh sahi hain Par bewafa woh nahi hain Jitna humko maante hain Utne jhoothe hum nahi hain Alvida alvida kehne ki himmat Juta li hai Jahan teri yaadein na ho woh duniya Bhi saja li hai Alvida alvida kehne ki himmat Juta li hai Jahan teri yaadein na ho woh duniya Bhi saja li hai