Skip to content

Sautela Sheher

Dr. Palash Sen
Popularity · Low

Listen

YouTube

0:00 / 0:00
Loading YouTube player...
Lyrics offset
Synced

Lyrics

Wohi subah, wohi shaam hai Wohi chehre, wohi naam hain Wohi dhadkan, wohi roshni bhi Allah yehi, yehi Ram hai Phir bhi kyun ajnabi Phir main kyun main nahi Phir hai kyun yeh makaan ghar nahi Sautela sa sheher, sautela hai yeh magar Phir bhi apna hai yeh jahan Sau jagah jaaye yeh dagar Sau wajah jaane ki par Phir bhi jeena ab hai yahan Sautela sheher hmm, sautela shehar hmm Sautela sheher hmm. Jaage jaage nain ghata re Bhaage bhaage paanv thake re Muskuraye, gungunaye yeh sanjh savere Na hai chhatri, na hai jhagde Aur yeh sapnon ki Yeh samandar aur yeh ambar nain base re Phir kyun tu ajnabi Phir kyun tu tu nahi Phir hai kyun aashiyan, ghar nahi Oh sautela sa sheher, sautela hai yeh magar Phir bhi apna hai yeh jahan Sau jagah jaaye yeh dagar Sau wajah jaane ki par Phir bhi jeena ab hai yahan Sautela sheher hmm, sautela shehar hmm Sautela sheher hmm. Sapnon ka sheher hai yeh mera Tu sang hai to ghar hai yeh mera Jaisa bhi hai par hai yeh mera Peechhe kahin chhoota hai jo Gaanv mera rootha hai jo Meri zameen, meri hawa ka ha mera aasman Ab main hoon ajnabi Ab main hoon main nahi Hai yeh mera aashiyan par ghar nahi Phir bhi apna hai yeh jahan Sau jagah jaaye yeh dagar, jaana hai par Phir bhi jeena ab hai yahan Sautela sheher hmm, sautela shehar hmm Sautela sheher hmm. Sautela sheher hmm, sautela shehar hmm Sautela sheher hmm.