Skip to content
Lyric
Dive
Public playlists
My playlists
Search
Sign in
Nidhivan (Radha-Krishn Geet)
Hrutul
Popularity · Low
+
Original
0
0
Listen
YouTube
1
2
3
0:00 / 0:00
Loading YouTube player...
Lyrics offset
Synced
Lyrics
Original
Translation
Bilingual
Nidhivan ki, raatri ek
Ajooba jo behlaaye mere mann ko
Raatri ek kalpa samaan par
Kanha ki murli dohraaye ek hi dhun
Kanha to tujh bin aadha aadha
Kanha to tujh bin
Kanha to tujh bin aadha aadha
Kanha to tujh bin
Radha, Radha, Radha rani
Tere bol jaise paani
Radha, Radha, Radha rani
Tu hai gud aur main hu dhaani!
Kanha to tujh bin aadha aadha
Kanha to tujh bin
Kanha to tujh bin aadha aadha
Kanha to tujh bin
Sayan aarti ke paschaat koi
Pashu na pakshi jaaye iss van mein
Kalpana karo ke, rang mahal ke
Shringaar ki chamak hogi kaisi?
Shwet ya sunehri
Gulaabi ya firozi
Gopiyaan aneri
Par, kanha kanha manmohana
Gaaye ek hi dhun
Radha, Radha, Radha rani
Mere bol jaise paani
Radha, Radha, Radha rani
Main hoon gud aur tu hu dhaani!
Sola hazaar aur ek sau aanth
Gopiyon ke nain mein, kanha ki aas
Yogmaaya se rachaaye raas
Saadhna barso ki, ye na koi bhaas
Mantro se mukt kare, man ko ye trupt kare
Har bhakt ki aas ko, utsaah se purn kare!
Utsaah ka utsav ye, utsaah ka utsav
Rasleela to ek utsaah ka utsav!
Utsaah ka utsav ye, utsaah ka utsav
Aatma paramaatma ke har ras ka utsav!
Utsaah ka utsav ye, utsaah ka utsav
Rasleela to ek utsaah ka utsav!
Utsaah ka utsav ye, utsaah ka utsav
Aatma paramaatma ke har ras ka utsav!