Skip to content
Lyric
Dive
Public playlists
My playlists
Search
Sign in
Yun to apas men bigadte hain
Lata Mangeshkar
Popularity ยท Low
+
๐ฎ๐ฉ Madurese ยท Original
0
0
Listen
YouTube
1
2
3
0:00 / 0:00
Loading YouTube player...
Lyrics offset
Synced
Lyrics
Original
Translation
Bilingual
Yun to aapas mein bigadte hain, khafa hote hain
Milne waale kahin...
Milne waale kahin ulfat mein juda hote hain
Hai zamaane mein ajab cheez muhabbat waale
Hai zamaane mein...
Hai zamaane mein ajab cheez muhabbat waale
Dard khud bante hain, khud apni dawa hote hain
Dard khud bante hain, khud apni dawa hote hain
Milne waale kahin ulfat mein juda hote hain
Haan, haal-e-dil mujhse na poocho, meri nazarein dekho
Haal-e-dil mujhse...
Haal-e-dil mujhse na poocho, meri nazarein dekho
Raaz dil ke to nigaahon se adaa hote hain
Raaz dil ke to nigaahon se adaa hote hain
Milne waale kahin ulfat mein juda hote hain
Milne ko yun to mila karti hain sab se aankhein
Milne ko yun to...
Milne ko yun to mila karti hain sab se aankhein
Dil ke aa jaane ke andaaz juda hote hain
Dil ke aa jaane ke andaaz juda hote hain
Yun to aapas mein bigadte hain, khafa hote hain
Aise has-has ke na dekha karo tum sab ki taraf
Aise has-has ke...
Aise has-has ke na dekha karo tum sab ki taraf
Log aise he adaaon pe fidaa hote hain

ย