Ek Pal
Popularity · Low
Listen
YouTube
0:00 / 0:00
Loading YouTube player...
Lyrics offset
Synced
Lyrics
Ek pal nahi laga, tujhko jaane mein
Sau lamhe ek wajah tujhko bhulane
Kya main kahun
Tujhe rok loon yahan
Ek aa gayi subah phirse woh baat leke
Keh de tu ek dafa baitha hoon main akele
Kya main kahun
Tujhe rok loon yahan
Ab ye raaton ke andhere mei chhupa
Koi chehra nazar na aaye
Bolo kaise bhula doon tujhe
Saare lamhe yahin hain thehre hue
Dil kyu naaraz hai
Kyu be-aawaz hai
Teri kami yahan
Par tujhpe naaz hai
Tu door hai
Majboor hai mujhe pata
Dil ke kisi kone mei kaid tha
Kuch main alag kuch tu mera sa tha
Do raahein ek manzil
Ek khaamoshi rehti yahan
Kab se raaton ke andhere mein chhupa
Teri aawaz sunn raha hoon
Log bolein main hoon ek aawara
Par yakeen ke sahaare baitha yahan