Skip to content
Lyric
Dive
Public playlists
My playlists
Search
Sign in
Tu Chhupi Hai Kahan
C. Ramachandra
Popularity · Low
+
Soninke · Original
0
0
Listen
YouTube
1
2
3
0:00 / 0:00
Loading YouTube player...
Lyrics offset
Synced
Lyrics
Original
Translation
Bilingual
Tu chhupi hai kahaan? Main tadapta yahaan
Tere bin phika-phika hai dil ka jahaan
Chhupi hai kahaan? Main tadapta yahaan
Dil ki mehfil mein jab na mujhe tum mile
Saans leti hu aake iss sunsaan mein
In bahaaron mein jab na tujhe paa saki
To tadapti hoon aake iss veerane mein
Tere bin phika-phika hai dil ka jahaan
Chhupi hai kahaan? Main tadapta yahaan
Tere bin chand ki phiki hai chandni
Mere geeton ko chhod chali raagni
Jaan tann mein hai, par mann to bejaan hai
Tu thi awaaz, baaki sab sunsaan hai
Tere bin phika-phika hai dil ka jahaan
Chhupi hai kahaan? Main tadapta yahaan
Ye nazrein deewani kyun khoi hui?
Mere rangeen sapno ke rango mein
Umango mein jab na tujhe pa saki
Dhundhati hoon main gham ki tarangon mein
Tere bin phika-phika hai dil ka jahaan
Chhupi hai kahaan? Main tadapta yahaan
Tu chhupi hai kahaan?
Chhupi hai kahaan?
Chhupi hai kahaan?
Main chhupi hoon, piya, teri palkan mein
Teri dhadkan mein, teri har saans mein, teri har aas mein
Main chhupi hoon kahaan, mera ye raaz sun
Dard ke haathon gham se bhara saaz sun
Mere rote hue dil ki aawaz sun
Aa, jab talak tera-mera na hoga milan
Main zameen, aasmaan ko hilati rahungi
Aakhari aas tak, aakhari saans tak
Khud tadpungi aur tadpaati rahhungi
Ye kaun ghunghru jhamka?
Ye kaun chaand chamka?
Ye dharti pe aasmaan aa gaya poonam ka
Ye kaun phool mehka?
Ye kaun panchhi chehka?
Mehfil mein kaisi khushbu uddi, dil jo mera behka?
Lo tan mein jaan aayi
Honthon pe taan aayi
Meri chakori, chandni mein karke snaan aayi
Bichhda woh meet aaya
Jeevan ka geet aya
Do aatma'on ke milan ka din puneet aaya
Surat hai mere sapnon ki, tu sohini
Jamuna tu hi hai, tu hi meri mohini
Tere bin phika-phika hai dil ka jahaan
Chhupi hai kahaan? Main tadapta yahaan
Tu chhupi hai kahaan?
Chhupi hai kahaan?
Chhupi hai kahaan?