Skip to content
Lyric
Dive
Public playlists
My playlists
Search
Sign in
Likhta Hoon
Aditya Pushkarna
,
Farak
Popularity · Low
+
Original
0
0
Listen
YouTube
1
2
3
0:00 / 0:00
Loading YouTube player...
Lyrics offset
Synced
Lyrics
Original
Translation
Bilingual
Main Jeene Ki Aas Mein Likhta Hoon
Mat Dekho Kis Haal Mein Likhta Hoon
Iss Kala Ko Sab Nyochaavar
Main Chamdi Utaar Ke Likhta Hoon
Kabhi Khud Ka Bakhaan Main Likhta Hoon
Kabhi Guzre Ki Yaad Mein Likhta Hoon
Koi Deta Jab Dil PE Dastak
Uske Jaane Ke Baad Main Likhta Hoon
Takleefon Se Raat Mein Milta Hoon
Sambhalne Ki Aas Mein Bikhra Hoon
Main Chaahta Aasmaan PE Qaabu
Par Logon Ki Aankh Mein Girta Hoon
Main Naastik, Paap Nahi Ginta Hoon
Koi Dhaarmik Baat Nahi Likhta Hoon
Andaaz-e-bayaan Ka Paisa Hai
Kuch Itna Bhi Khaas Nahi Likhta Hoon
Main Likhta Woh Chaand Taare
Jo Kitnon Ko Jeene Ka Aasra Dein
Main Likhta Woh Kaanch Ka Dil
Jo Naazuk Beshaq Par Bardaasht Kare
Main Likhta Jab Shaam Dhaley
Jab Mehfil Mein Kisse Aur Jaam Chalein
Yeh Kalam Sahara Kitnon Ka Jab Sochun Toh
Likhne Ko Haath Badhe
Main Likhta Bhulaane Ko Kuch
Kamaane Ko Aksar Luta Deta Kuch
Yeh Zaalim Zamaane Ka Jurm
Jo Sach Likhun Toh Nakaaroge TUM
Musafir Main Raahon Mein Gumm
Yeh Kalam Azad Salaakhon Se Mukt
Main Likhta Insaanon Ke Nuks
Jo Dard Likhun Toh Dawa Doge TUM?
Yeh Kaagaz Dhool Khaate Dikhte
Main Maangun Phool, Kaantein Milte
Haasil Kya Bhatke Musafir Ko?
Aksar Main Poochhta Manzil Se
Hmm...
Likhta Main Aasmaan Zameen PE Baithe
Har Woh Shakhs Bhaagta Jo Dil Mein Thehre
Ab Maanjhi Tat Ko Talaashe Bas
Yeh Kaagaz Jaanta Gham Kitne Gehre
Main Likh Doon Sab Toh Kya TUM Padh Sakoge?
Main Likh Doon Sach Toh Kya Samajh Sakoge?
Insaan Murda Bin Zakhmon Ke
Ek Likh Doon Khat To Kya TUM Rakh Sakoge?
Hmm...
Jin Haathon Ne Kalam Utha Li
UN Haathon Ne Kabhi Na Phailna Seekha
Dooba Hua Tha Isliye Tairna Seekha
Kalam Ne Kabhi Na Theherna Seekha
Bagair Na Jee Paata Kala Ke Meri Main Zeher Na Peeta
Sheher Ka Seedha Sa Ladka Gumnaami Ke Keher Mein Jeeta
Ghair Sabhi Ka, Main Ghair Sabhi Ka Par
Bana Leta Apna Har Kisi Ko Lafzon Ke Zariye Se Likhta Jo Kaagaz PE
Dard Amaavas Ke Chaand Ke Jaisa Hai Mera Dikhta Na Baahar Se
Muskurahatein Lagti Hain Jhoothi Jab Sar PE Savaar Gunaahon Ka Bojh
Deta Nahi Kisi Ko Dosh
Bharta Inn Pannon Ko, Likhta Hoon Roz
Main Kahun Khud Se Ke Kaam Karo
Main Kehta Hoon Mujhko TUM Yaad Karo
Jab Laash Jalaa Dein Yeh Meri Toh
Baare Mein Mere TUM Baat Karo
Par Karna Jab Baat Na Bhoolna
Becha Nahi Sapnon Ko Kaudi Ke Daam
Likhta Tha Aur Karta Dua Tha Kar De
Yeh Kisi Ke Ghaavon PE Marham Ka Kaam
Aur Kar Dena Maaf
Reh Gayi Woh Koshish Naakaam
Karta Hoon Khud Se Sawaal
Kya Lagega Kabhi Bhi Mol Is Paini Zubaan Ka Jannat Mein
Aage Farishton Ke?
Kya Woh Mere Waadon Ke, Rishton Ke Lenge Hisaab?
Qiston Mein Deta Jawaab Ki
Maana Kar Paaya Nahi Woh Apna Naam Iss Duniya Mein
Jitna Tha Chaaha Uss Ladke Ne, Naam Tha Farak
Paanch Baras Hue Likhte Mujhe
5 August Hua Janam Mera
Paanch The Baje Ve Sham Ke
Paanch Naakaam Gulzaaron Ke Marne Ke Baad
Paanch Janam Jo Bekaar Gaye
Agar Sunn Rahe Abtak TUM Baatein Meri Phir Toh
Jaane Mat Dena Iss Kala Ko Meri
TUM Iske Qaabil Banna
Hmm...
Likhta Main Aasmaan Zameen PE Baithe
Har Woh Shakhs Bhaagta Jo Dil Mein Thehre
Ab Maanjhi Tat Ko Talaashe Bas
Yeh Kaagaz Jaanta Gham Kitne Gehre