Skip to content

Sooraj Hai Kahaan

G.V. Prakash Kumar
Popularity · Low

Listen

YouTube

0:00 / 0:00
Loading YouTube player...
Lyrics offset
Synced

Lyrics

Sooraj hai kahaan, sar mein aag re Nagin titliyan, akshar bhaar re Meri aankh mein loha hai kya Meri rotiyon mein kaanch hai Gin meri ungliyan kya poori paanch hain Yeh meri bandook dekho Yeh mera sandook hai Ghaas jungle, jism paani Koyla meri bhookh hai Chowk mera, gali meri, naukri vardi meri Dhool utarti, sona raddi Dhoop aur sardi meri Meri parking hai, yeh meri seat hai Mera matha hai, yeh meri eent hai Teri mitti se meri mitti tak Aa rahi hai dhoop saari rainon se Rang se tere rivaazon se Teri boli se, tere melon se Keelein chubhti hain Chheelein hain dikhti hain Lakadiyan geeli nahi hain Tel hain peeli yahin hain Mera chanda tareeka, mera sach sahi Gar koi awaz uthi gaad dunga main yahin Main yahan pehle khada tha Hai yeh mera maidan Aazma le laathiyon pe, kya sab Yeh kitaabein paap hain Yeh log saare saanp hain Jahaalat ke hamaamon mein Morality ki bhaap hai Main bataaunga tujhe tu Jeans pehne hai kitni tang Kaun si building mein tu reh Sakti hai kab kiske sang Raat ke kitne baje kaise Chale kis se mile Kab palat kar maar de Kab chup rahe, kab khap chale Hai yeh valentine kyun Tu bhi dee wine kyun Tere pub se, uske Rab se Mujhko problem hai sabse Hamne unko khoob dhoya Jo ruyi se log the Ban gaye unke gubbaare Jo suli se log the Jiski chaadar hamse chhoti Uski chaadar chheen li Jis bhi chhat pe chadh gaye hum Uski seedhi tod di Ishtiharon mein khushi hai Aur ghar atta nahi De mera chaaku mujhe maa Kab se kuchh kaata nahi Bachche khelte jahaan pichhle June mein Ab baste renkte hain Wahaan bheege khoon mein Par raahi thi ek bachchi Sadak par bheed thi Sabka na tu dar tha zaroori Sabne marti chhod di