Skip to content

Mere Dil Mein Hai

Popularity · Low

Listen

YouTube

0:00 / 0:00
Loading YouTube player...
Lyrics offset
Synced

Lyrics

Mere dil mein hai ek baat, keh do toh bhala kya hai Mere dil mein hai ek baat, keh do toh bhala kya hai Ghadi mein yeh, ghadi mein woh, har rang ki har ada hai Tere dil mein hai kya baat, kaise bataun kya hai? Mere dil mein hai ek baat, keh do toh bhala kya hai Lagti mujhe duniya haseen jab paas hoti ho Lagta nahin hai dil kahin jab door hote ho Oh, lagti mujhe duniya haseen jab paas hoti ho Lagta nahin hai dil kahin jab door hote ho Hai raaz kya iss mein kaho, aakhir yeh baat kya hai? Mere dil mein hai ek baat, keh do toh bhala kya hai Tere dil mein hai kya baat, kaise bataun kya hai? Jaisa kaha tum ne mujhe, waisa hi hota hai Kehte hain jis ko pyaar, woh aisa hi hota hai Oh, jaisa kaha tum ne mujhe, waisa hi hota hai Le pyaar ki duniya nayi, koi dil mein aa basa hai Mere dil mein hai ek baat, keh do toh bhala kya hai Tere dil mein hai kya baat, kaise bataun kya hai?