Skip to content

Dasht E Tanhaayi

Joell, Chinmayi Tripathi
Popularity · Low

Listen

YouTube

0:00 / 0:00
Loading YouTube player...
Lyrics offset
Synced

Lyrics

Dasht-e-tanhayee Mein Aye Jaan-e-jahaan Larzaan Hai Teri Aawaaz Ke Saaye Tere Honton Ke Seraab Dasht-e-tanhaayee Mein Aye Jaan-e-jahaan Larzan Hai Teri Aawaaz Ke Saaye Tere Honton Ke Seraab Dasht-e-tanhayee Mein Doori Ke Khas-o-khaak Talei Khil Rahe Hain Tere Pehlu Ke Saman Aur Gulaab Dasht-e-tanhayee Mein Aye Jaan-e-jahaan Larzan Hai Dasht-e-tanhayee Mein Uth Rahi Hai Kahin Qurbat Se Teri Saans Ki Aanch Apni Khushboo Mein Sulaghti Huee Maddham, Maddham... Door Ufaq Paar Chamakti Hui Qatra Qatra... Mil Rahi Hai Teri Dildaar Nazar Ki Shabnam Dasht-e-tanhayee Mein Aye Jaan-e-jahan Larzaan Hai Dasht-e-tanhayee Mein Is Qadar Pyaar Se Aye Jaan-e-jahaan Rakkha Hai Dil Ke Rukhsaar Pe Is Waqt Teri Yaad Ne Haath Yunh Ghumaan Hota Hai Garje Hai Abhi Subh-e-firaaq Dhal Gaya Hijr Ka Din Aaa Bhi Gayi Wasl-ki-raat Dasht-e-tanhayee Mein Aye Jaan-e-jahan Larzaan Hai Teri Aawaaz Ke Saaye Tere Honton Ke Seraab Dasht-e-tanhayee Mein Aye Jaan-e-jahan Larzaan Hai