Skip to content
Lyric
Dive
Public playlists
My playlists
Search
Sign in
1 Se 23
Karma
Popularity · Low
+
Original
0
0
Listen
YouTube
1
2
3
0:00 / 0:00
Loading YouTube player...
Lyrics offset
Synced
Lyrics
Original
Translation
Bilingual
Like Mera Naam Vivek Hai
Aur, Aap Log Mujhe Karma Ke Naam Se Jante Hain
And I Have A Lot To Say, It Goes Like
Pahle Baal Khade Nahin The Mere
Main Side Ki Mang Mein Rahta Tha
Chati Par Thi Pant
Tel Kaano Se Bahta Tha
Na Sports Mein Main Aage Tha
Look Bhi Mera Ganda Tha
Pata Nahi Yaar Mein Kaisa Tha
Main Bada Bore Sa Banda Tha
'cause Doston Pe Bike Thi
Mujhpe Cycle Thi
Koi Pass Nahi Aata Tha
Jaise Jeb Mein Mere Rifle Thi
Main Khelne-koodne Ko Jaata
Bhaga Dete The Mujh Ko
Main Paani Ki Tanki Pe Jata To
Bhiga Dete Mujh Ko
Yeh Facebook, Whatsapp
Mere Kaam Ki Cheez Nahin Thi
Dance Seekhna Chahta Tha
Par Jeb Mein Itni Fees Nahin Thi
Do Baje Tak School
Teen Se Saat Ka Tution
Life Nahi Chal Rahi Thi Woh
Chal Raha Tha Illusion
But Illusion Se Concentration
Wali Maine Baat Kari
Main Likhta Raha
Main Likhta Raha
Maine Ek Din Aur Raat Kari
Ab Main Aur Mera Talent
Ek Jungle Mein Do Sher Rahte Hain
Woh Log, Milte Hain Mujhko Aaj
Yeh Kahte Hain Ke
oye Tu Rapper Hai?
Yaar Ek Rap Suna De
Dekh Bhai Hoon Main Tera
Ab Itna Mat Itra Be
Aur Main Sochta Hoon Ke
Yeah, Yeah!
Woh, Tab Kahan The Jab Mujhko
Ek Dost Ki Zaroorat Thi
Tab Kahan The Jab Hasrat
Meri Pathar Ki Murat Thi
Koi Time Machine La De Mujhko
Main Waqt Mein Peeche Jaunga
Rapper Banne Wala Hun
Un Sab Ko Yeh Bataunga
'cause Aaj Main Sabka Bhai Hun
Sab Kahte Hai Dost Mujhe
Paanch Saal Se Nahi Mile
Aaj Message Karte Roz Mujhe
Roz Mujhe, Phone Mujhe
Karte Jane Kaun Mujhe
Kahte Set Max Pe Aane Wala
Surya-the Don Mujhe
Aadhi Raat Phone Baje
Phone Ki Ringtone Baje
Aur Airplane Pe Daal Doon
Jab Eminem Ke Song Baje
'cause Baal Khade Nahin The Mere
Na Hi Mujh Pe Gaadi Thi
Na Meri Awaaz Mein
Yeh Wali Tone Aa Rahi Thi
Na Hi Mujh Mein Raps The
Na Looks The, Na Hooks The
Na Hi Whatsapp List Mein
Ladkiyan Pyari, Pyari Thi
Par Ab Meri Baari Thi
Sab Se Aage Aane Ki
Main Kya Kar Sakta Hun
Un Sab Ko Yeh Batane Ki
Woh Aa Ke Mujhse Puchein
Aise Soch Kaise Leta Hai
Soch Se, Soch Na Sakne
Wali Baat Batane Ki
Shakti Mujh Mein
English Mein It’s Called Super Power
Ek Ladka Tha Jo Paise Aur
Akad Mein Upar Tha Par
Talent Ke Maamle Mein Of Course
You Know Main Kya Tha
Us Waqt Confidence Ki Kami Thi
To Kya Main Usko Bulaata
Ya Kaise Rap Sunata Par Woh
Ek Number Ka Gadha Tha
'cause Usne Mujh Ko Ched Diya
Kuch Und-shund Sa Bhed Diya
Main Khada Hua, Pass Gaya
Main Bola Karle Face Off
Woh Chaudepan Mein Haan Bola
Bas Wahin Pe Sara Case Solve
Janne Wale Bahut Hain
Par Dost Bahut Kam Hain
Jo Dost Nahin Hain Mere
Unko Isi Baat Ka Gham Hain
Kyon Ki Baby Ko Bass Pasand
Mujhko Rapping Mein Hai Rage Pasand
Aur Unko Lagta Hai Ki Bas Hum Hi Ham Hain
Pahle Baal Khade Nahin The Mere
Main Isi Baat Se Khush Hun
Us Gangadhar Wali Look Se Hi
Hun Jo Aaj Kuch Hun
Tum Aaj Bhi Un Chote Mote
Voton Ke Liye Ladte Ho
Main 1 Se 23 Tak George Bush Hun
Karma