Skip to content

Hangama Hai Kyun Barpa

Popularity · Low

Listen

YouTube

0:00 / 0:00
Loading YouTube player...
Lyrics offset
Synced

Lyrics

Hañgāma hai kyuuñ barpā thoḌī sī jo pī lī hai Daakā to nahīñ maarā chorī to nahīñ kī hai Nā-tajraba-kārī se vaa.iz kī ye haiñ bāteñ Is rañg ko kyā jaane pūchho to kabhī pī hai Us mai se nahīñ matlab dil jis se hai begāna Maqsūd hai us mai se dil hī meñ jo khiñchtī hai Ai shauq vahī mai pī ai hosh zarā so jā Mehmān-e-nazar is dam ek barq-e-tajallī hai Vaañ dil meñ ki sadme do yaañ jī meñ ki sab sah lo Un kā bhī ajab dil hai merā bhī ajab jī hai Har zarra chamaktā hai anvār-e-ilāhī se Har saañs ye kahtī hai ham haiñ to ḳhudā bhī hai Sūraj meñ lage dhabbā fitrat ke karishme haiñ But ham ko kaheñ kāfir allāh kī marzī hai Ta.alīm kā shor aisā tahzīb kā ġhul itnā Barakat jo nahīñ hotī niyyat kī ḳharābī hai Sach kahte haiñ shaiḳh 'akbar' hai tā.at-e-haq lāzim Haañ tark-e-mai-o-shāhid ye un kī buzurgī hai Hangama hai kyun barpa thoDi si jo pi li hai Daka to nahin mara chori to nahin ki hai Na-tajraba-kari se waiz ki ye hain baaten Is rang ko kya jaane puchho to kabhi pi Us mai se nahin matlab dil jis se hai begana Maqsud hai us mai se dil hi mein jo khinchti hai Ai shauq wahi mai pi ai hosh zara so ja Mehman-e-nazar is dam ek barq-e-tajalli hai Wan dil mein ki sadme do yan ji mein ki sab sah lo Un ka bhi ajab dil hai mera bhi ajab ji hai Har zarra chamakta hai anwar-e-ilahi se Har sans ye kahti hai hum hain to KHuda bhi hai Suraj mein lage dhabba fitrat ke karishme hain But hum ko kahen kafir allah ki marzi hai Talim ka shor aisa tahzib ka ghul itna Barakat jo nahin hoti niyyat ki KHarabi hai Sach kahte hain shaiKH 'akbar' hai taat-e-haq lazim Han tark-e-mai-o-shahid ye un ki buzurgi hai