Skip to content

BOLRA HAI SADAK

Popularity · Low

Listen

YouTube

0:00 / 0:00
Loading YouTube player...
Lyrics offset
Synced

Lyrics

What are the major strengths and weaknesses of our India? Strength of India? What the major strength of India? YOU GUYS Ah bolra hai sadak, kiske pass hai jawab Bolra hai sadak, jare hum hai kis disha Bolra hai sadak, burai ka tu kar safa Bolra hai sadak, kya pahuncha tere talak Kis tarah sab shant baithe, pakde kaiko bistara? Padhne wale bacche kaiko pit rahe yahan pe iss tarah? Galat ke khilaf yahan aawaaz utha har dafa Marchuka hai umeed yaha janta khadi hai khafa Hai khafa Ye sachai ye hai falsafa Is dafa Kaise jaane denge is dafa? Kis disha hum jaa rahe, mar rahe bacche har dafa Samvidhan bolta hai, kar sakta hai tu sawaal! Aawaaz utha shanti se, sikha humne Gandhi se Angrej ke khilaf hum lade jaise aandhi se Shanti se... jeete hum shanti se Usi tarah aaj bhi hum jeetenge shanti se! Pooch us maa se kya dard hai jo khoye apne bacche ko System se ladte jo, itna kuch ho ke bhi kyun kuch nahi karte, bro? Desh ke liye khada hona yahan sabka farz hai, bro! Haan chahiye peace, na chahiye hamein koi violence Galat logon ko system se karo yahan pe minus Freedom of speech, galat cheezon pe na silent Yahan peaceful protest ho raha, kon ho raha violent! Hum pe tod sakte laathi, junoon kaise todoge? Desh ki bhalai ke liye khade yahan pe, woh loge kya bologe? Jab farzi ilaaj kare, asli jo doctor woh raste pe march kare Students raste pe peak aura hai Tum hi batao kya sab theek ho raha hai? Galat ilaaj se kaun yahan theek ho raha hai? Ah kya karein, mere desh mein paper leak ho raha hai! Hamein chahiye sabko ek sa sammaan mile Jisko jo aata, usko wohi kaam mile Imaandar jo kirdar, use naam mile Jo hai gaddar, saala kabhi humse na mile! Nahi hone denge corrupt naame kisi ki bhi taraf Bas desh ki jab baat, toh sachai ki hai talap Bacche kya hi kiye galat bus, kanoon chahiye alag Ghar se bahar aake dekh toh sachai maange sadak Koi yeh party, woh party, party kar rahi hai Sachai par na kisi ko yahan baatein karni hai Krantikari ban rahe yuvaon ko kranti karni hai Beti padh nahi rahi, beti ko yahan laathi pad rahi hai Ah bol raha hai sadak, kiske pass hai jawab Bol raha hai sadak, jare hum hai kis disha? Bol raha sadak, burai ka tu kar safa Bol raha sadak, kya pahuncha tere talak Bhagat Singh ki aag, Babasaheb ka Samvidhan Nyaay aur azaadi se bana mera Hindustan Istemaal na hone denge hum is dafa Ha mar chuka hai umeed yaha janta khadi hai khafa Hai khafa Ye sachai ye hai falsafa Is dafa Kaise jaane denge is dafa? Kis disha hum jaa rahe, mar rahe bacche har dafa Samvidhan bolta hai, kar sakta hai tu sawaal Take a decision in common And march in a cooperative way on that road Which is bound to lead us to unity