Zameen
Dhi Harmony
Popularity · Low
Listen
YouTube
0:00 / 0:00
Loading YouTube player...
Lyrics offset
Synced
Lyrics
Pahado se unchi imaaratein aisi
Nigaahon me uljhi si taarein hain rehti
Dhundunga kya hi, mai udta bhatakta parinda hoon
Gulaabon se bhi roothi woh titli saheli
Hawaoon ke aanchal mein behta rahunga beparwah
Jab tan peeche chhode, zameen mein sama jaaunga
Maindaano mein bachpan ki yaadein to hongi
Sitaaron mein jo dhundi thi duniya anokhi
Poochega chanda, kyu gum hai woh nanha sa taara
Pahado se Unchi imaaratein aisi
Hawaoon ke aanchal mein behta rahunga beparwah
Jab tan peeche chhode, zameen mein sama jaaunga
Yahan hun mai, dil par hai parvat pe soya
Nazaaron ki bhini si yaadon mein khoya
Lautunga kaise mai gum hu samay ke dhaago mein
Nigaahon mein gul ki bahaarein hai rehti